Mohabbat Mein Ek Aisa Bhi Maqam Aata Hai Mushkil Ka, Urdu Ghazal By Muneer Bhopali

Mohabbat Mein Ek Aisa Bhi Maqam Aata Hai Mushkil Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Bhopali. Mohabbat Mein Ek Aisa Bhi Maqam Aata Hai Mushkil Ka comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mohabbat Mein Ek Aisa Bhi Maqam Aata Hai Mushkil Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

محبت میں اک ایسا بھی مقام آتا ہے مشکل کا

منیر بھوپالی

محبت میں اک ایسا بھی مقام آتا ہے مشکل کا

جہاں خود دل ہی بن جاتا ہے دشمن ہستئ دل کا

نظر کیسی خیالوں سے ہے اونچا سلسلہ دل کا

پتہ خود پوچھتا ہے عشق مجھ سے میری منزل کا

ہر اک کروٹ پہ درد عشق کی تڑپا نہیں جاتا

کہاں تک ساتھ دے گی زندگی بے تابئ دل کا

مری آنکھوں میں موجیں ہیں مری نظروں میں طوفاں ہے

سفینہ میرا پروردہ نہیں آغوش ساحل کا

مری ذوق خلش اک مستقل دنیائے راحت ہے

کہ ہر اک خار پہ ہوتا ہے دھوکا مجھ کو منزل کا

مزے تنہائیوں کے بھی کبھی آتے ہیں محفل میں

کبھی تنہائیاں بھی لطف دے جاتی ہیں محفل کا

پلا ساغر نگاہ مست سے بھی کام لے ساقی

مجھے احساس کچھ ہونے لگا ہے حق و باطل کا

اگر سمجھو تو ہر قطرہ محبت کی کہانی ہے

نہیں یہ اشک اک پیغام ہے ٹوٹے ہوئے دل کا

صدائے شوق نظارہ نہ ساز بے نیازی ہے

بس اک نغمہ فضا میں گونجتا ہے پردۂ دل کا

ترے در پر مجھے یہ فطرت مجبور لائی ہے

نہ جانے آج کس دنیا میں عالم ہے مرے دل کا

غم پنہاں کے پردے میں نشاط کامرانی ہے

زمانہ سے الگ ہٹ کر زمانہ ہے مرے دل کا

جنوں کی عظمتیں مجھ کو منیرؔ آغوش میں لیں گی

طواف اپنی نگاہیں کر رہی ہیں اس کی محفل کا

منیر بھوپالی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mohabbat Mein Ek Aisa Bhi Maqam Aata Hai Mushkil Ka

Muneer Bhopali

mohabbat mein ek aisa bhi maqam aata hai mushkil ka
jahan KHud dil hi ban jata hai dushman hasti-e-dil ka

nazar kaisi KHayalon se hai uncha silsila dil ka
pata KHud puchhta hai ishq mujh se meri manzil ka

har ek karwaT pe dard-e-ishq ki taDpa nahin jata
kahan tak sath degi zindagi be-tabi-e-dil ka

meri aankhon mein maujen hain meri nazron mein tufan hai
safina mera parwarda nahin aaghosh-e-sahil ka

meri zauq-e-KHalish ek mustaqil duniya-e-rahat hai
ki har ek KHar pe hota hai dhoka mujh ko manzil ka

maze tanhaiyon ke bhi kabhi aate hain mahfil mein
kabhi tanhaiyan bhi lutf de jati hain mahfil ka

pila saghar nigah-e-mast se bhi kaam le saqi
mujhe ehsas kuchh hone laga hai haqq-o-baatil ka

agar samjho to har qatra mohabbat ki kahani hai
nahin ye ashk ek paigham hai TuTe hue dil ka

sada-e-shauq-e-nazzara na saz-e-be-niyazi hai
bas ek naghma faza mein gunjta hai parda-e-dil ka

tere dar par mujhe ye fitrat-e-majbur lai hai
na jaane aaj kis duniya mein aalam hai mere dil ka

gham-e-pinhan ke parde mein nashat-e-kaamrani hai
zamane se alag haT kar zamana hai mere dil ka

junun ki azmaten mujh ko 'munir' aaghosh mein lengi
tawaf apni nigahen kar rahi hain us ki mahfil ka

(448) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mohabbat Mein Ek Aisa Bhi Maqam Aata Hai Mushkil Ka written by Muneer Bhopali at UrduPoint. Mohabbat Mein Ek Aisa Bhi Maqam Aata Hai Mushkil Ka is one of the masterpieces written by Muneer Bhopali. You can also find the complete poetry collection of Muneer Bhopali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Bhopali' above.

Mohabbat Mein Ek Aisa Bhi Maqam Aata Hai Mushkil Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mohabbat Mein Ek Aisa Bhi Maqam Aata Hai Mushkil Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.