Mohabbat Hai To Phir Andaza-e-shauq-e-wafa Kyon Ho, Urdu Ghazal By Muneer Bhopali

Mohabbat Hai To Phir Andaza-e-shauq-e-wafa Kyon Ho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Bhopali. Mohabbat Hai To Phir Andaza-e-shauq-e-wafa Kyon Ho comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mohabbat Hai To Phir Andaza-e-shauq-e-wafa Kyon Ho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

محبت ہے تو پھر اندازۂ شوق وفا کیوں ہو

منیر بھوپالی

محبت ہے تو پھر اندازۂ شوق وفا کیوں ہو

شکایت درد کی کیوں ہو جفاؤں کا گلہ کیوں ہو

کسی کے کان تک پہنچے وہ میری التجا کیوں ہو

بر آنا جس کا ممکن ہو وہ میرا مدعا کیوں ہو

یہ راہ عشق ہے اے دل مآل اندیشیاں کیسی

جنوں ہے دستگیر اپنا کوئی زنجیر پا کیوں ہو

حیات آرزو پروردۂ آغوش طوفاں ہے

جسے ہو فکر ساحل کی وہ میرا ناخدا کیوں ہو

نہ یہ فریاد ہوگی پھر نہ یہ آہیں نہ یہ نالے

دل ناداں محبت میں حقیقت آشنا کیوں ہو

وہ نظریں خاک میں جن کو ملانا بھی نہیں آتا

انہیں نظروں سے وابستہ ہمارا مدعا کیوں ہو

حدود شش جہت سے ماورا جب اس کے جلوے ہیں

تو پرواز محبت تا بہ حد دو سرا کیوں ہو

خدا کے یاد آنے کا بڑا اچھا ذریعہ ہے

شناسائے کرم وہ بانی جور و جفا کیوں ہو

محیط عرش و کرسی جب خدا کا ظل رحمت ہے

منیرؔ اپنی خطا کوشی کی کوئی انتہا کیوں ہو

منیر بھوپالی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mohabbat Hai To Phir Andaza-e-shauq-e-wafa Kyon Ho

Muneer Bhopali

mohabbat hai to phir andaza-e-shauq-e-wafa kyon ho
shikayat dard ki kyon ho jafaon ka gila kyon ho

kisi ke kan tak pahunche wo meri iltija kyon ho
bar aana jis ka mumkin ho wo mera muddaa kyon ho

ye rah-e-ishq hai ai dil maal-andeshiyan kaisi
junun hai dastgir apna koi zanjir-e-pa kyon ho

hayat-e-arzu parwarda-e-aghosh-e-tufan hai
jise ho fikr sahil ki wo mera naKHuda kyon ho
na ye fariyaad hogi phir na ye aahen na ye nale
dil-e-nadan mohabbat mein haqiqat-ashna kyon ho

wo nazren KHak mein jin ko milana bhi nahin aata
unhin nazron se wabasta hamara muddaa kyon ho

hudud-e-shash-jihat se mawara jab us ke jalwe hain
to parwaz-e-mohabbat ta-ba-hadd-e-do-sara kyon ho

KHuda ke yaad aane ka baDa achchha zariya hai
shanasa-e-karam wo bani-e-jaur-o-jafa kyon ho

muhit-e-arsh-o-kursi jab KHuda ka zill-e-rahmat hai
'munir' apni KHata-koshi ki koi intiha kyon ho

(365) ووٹ وصول ہوئے

You can read Mohabbat Hai To Phir Andaza-e-shauq-e-wafa Kyon Ho written by Muneer Bhopali at UrduPoint. Mohabbat Hai To Phir Andaza-e-shauq-e-wafa Kyon Ho is one of the masterpieces written by Muneer Bhopali. You can also find the complete poetry collection of Muneer Bhopali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Bhopali' above.

Mohabbat Hai To Phir Andaza-e-shauq-e-wafa Kyon Ho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mohabbat Hai To Phir Andaza-e-shauq-e-wafa Kyon Ho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.