Mohabbat Ibtida Hai Har KHabar Ki, Urdu Ghazal By Muneer Bhopali

Mohabbat Ibtida Hai Har KHabar Ki is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Bhopali. Mohabbat Ibtida Hai Har KHabar Ki comes under the Love category of Urdu Ghazal. You can read Mohabbat Ibtida Hai Har KHabar Ki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

محبت ابتدا ہے ہر خبر کی

منیر بھوپالی

محبت ابتدا ہے ہر خبر کی

محبت انتہا ہے ہر نظر کی

محبت روشنی قلب و جگر کی

محبت آبرو ہے چشم تر کی

محبت نے فرشتوں کو جھکایا

محبت سے بڑھی وقعت بشر کی

محبت ظلمت شب کی تمنا

محبت آرزو نور سحر کی

محبت پرتو نور ازل ہے

محبت روشنی ہے ہر نظر کی

محبت اک مسلسل درد سر ہے

محبت ہی دوا ہے درد سر کی

محبت آئنہ ہے لفظ کن کا

محبت ہے نظر آئینہ گر کی

منیرؔ اس دل کے پردے میں محبت

تجلی ہے خدائے بحر و بر کی

منیر بھوپالی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mohabbat Ibtida Hai Har KHabar Ki

Muneer Bhopali

mohabbat ibtida hai har KHabar ki
mohabbat intiha hai har nazar ki

mohabbat raushni qalb-o-jigar ki
mohabbat aabru hai chashm-e-tar ki

mohabbat ne farishton ko jhukaya
mohabbat se baDhi waqat bashar ki

mohabbat zulmat-e-shab ki tamanna
mohabbat aarzu nur-e-sahar ki

mohabbat partaw-e-nur-e-azal hai
mohabbat raushni hai har nazar ki

mohabbat ek musalsal dard-e-sar hai
mohabbat hi dawa hai dard-e-sar ki

mohabbat aaina hai lafz-e-kun ka
mohabbat hai nazar aaina-gar ki

'munir' is dil ke parde mein mohabbat
tajalli hai KHuda-e-bahr-o-bar ki

(356) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mohabbat Ibtida Hai Har KHabar Ki written by Muneer Bhopali at UrduPoint. Mohabbat Ibtida Hai Har KHabar Ki is one of the masterpieces written by Muneer Bhopali. You can also find the complete poetry collection of Muneer Bhopali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Bhopali' above.

Mohabbat Ibtida Hai Har KHabar Ki is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mohabbat Ibtida Hai Har KHabar Ki, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.