Bayan Sun Na Saka Jab Koi Bayan Ki Tarah, Urdu Ghazal By Muneer Bhopali

Bayan Sun Na Saka Jab Koi Bayan Ki Tarah is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Bhopali. Bayan Sun Na Saka Jab Koi Bayan Ki Tarah comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bayan Sun Na Saka Jab Koi Bayan Ki Tarah on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بیان سن نہ سکا جب کوئی بیاں کی طرح

منیر بھوپالی

بیان سن نہ سکا جب کوئی بیاں کی طرح

سنایا حال دل زار داستاں کی طرح

یہ راز عشق ہمیشہ کو راز رہ جاتا

نگاہ کام نہ کرتی اگر زباں کی طرح

کہیں ہے بوئے تمنا گل مراد کہیں

نہال دل کا ہے پھیلاؤ گلستاں کی طرح

کسی کے خندۂ بیجا کا اب نہیں شکوہ

فغاں بھی دل سے نکلتی نہیں فغاں کی طرح

خیال میں ہیں بہاریں نگاہ میں گلشن

گزر رہی ہے قفس میں بھی آشیاں کی طرح

بنی ہے دشمن ہر آرزو وہی حسرت

لگا کے سینے سے رکھتا ہوں اس کو جاں کی طرح

جبین شوق بتائے گی لذت سجدہ

نہ دیر ہے نہ حرم ان کے آستاں کی طرح

زمانہ آج بھی ناواقف حقیقت ہے

کبھی بہار چمن ہوں کبھی خزاں کی طرح

مٹا کے ہستئ دل بھی سکون دل نہ ملا

زمیں ہے سایہ فگن سر پہ آسماں کی طرح

کبھی نہ جھک کے رہیں سر بلندیاں میری

زمیں پہ عمر گزاری ہے آسماں کی طرح

منیرؔ ان کی نظر نے بدل دیا مجھ کو

کہ اب ہنسی بھی جو آتی ہے تو فغاں کی طرح

منیر بھوپالی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bayan Sun Na Saka Jab Koi Bayan Ki Tarah

Muneer Bhopali

bayan sun na saka jab koi bayan ki tarah
sunaya haal-e-dil-e-zar dastan ki tarah

ye raaz-e-ishq hamesha ko raaz rah jata
nigah kaam na karti agar zaban ki tarah

kahin hai bu-e-tamanna gul-e-murad kahin
nihaal dil ka hai phailao gulistan ki tarah

kisi ke KHanda-e-be-ja ka ab nahin shikwa
fughan bhi dil se nikalti nahin fughan ki tarah

KHayal mein hain bahaaren nigah mein gulshan
guzar rahi hai qafas mein bhi aashiyan ki tarah

bani hai dushman-e-har-arzu wahi hasrat
laga ke sine se rakhta hun us ko jaan ki tarah

jabin-e-shauq bataegi lazzat-e-sajda
na dair hai na haram un ke aastan ki tarah

zamana aaj bhi na-waqif-e-haqiqat hai
kabhi bahaar-e-chaman hun kabhi KHizan ki tarah

miTa ke hasti-e-dil bhi sukun-e-dil na mila
zamin hai saya-fagan sar pe aasman ki tarah

kabhi na jhuk ke rahin sar-bulandiyan meri
zamin pe umr guzari hai aasman ki tarah

'munir' un ki nazar ne badal diya mujh ko
ki ab hansi bhi jo aati hai to fughan ki tarah

(335) ووٹ وصول ہوئے

You can read Bayan Sun Na Saka Jab Koi Bayan Ki Tarah written by Muneer Bhopali at UrduPoint. Bayan Sun Na Saka Jab Koi Bayan Ki Tarah is one of the masterpieces written by Muneer Bhopali. You can also find the complete poetry collection of Muneer Bhopali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Bhopali' above.

Bayan Sun Na Saka Jab Koi Bayan Ki Tarah is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bayan Sun Na Saka Jab Koi Bayan Ki Tarah, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.