Aql Ke Jal Mein Phansi Hi Nahin, Urdu Ghazal By Muneer Saifi

Aql Ke Jal Mein Phansi Hi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Saifi. Aql Ke Jal Mein Phansi Hi Nahin comes under the Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Aql Ke Jal Mein Phansi Hi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عقل کے جال میں پھنسی ہی نہیں

منیر سیفی

عقل کے جال میں پھنسی ہی نہیں

زندگی آج تک کھلی ہی نہیں

مجھ میں جیتا رہا سدا کوئی

زندگی اپنی میں نے جی ہی نہیں

سخت اتنی انا کی تھی دیوار

پھر کسی بھی طرح گری ہی نہیں

میں نے دنیا سمیٹ لی تو کھلا

کام کی کوئی چیز تھی ہی نہیں

چاند کے ساتھ ہو گئی رخصت

جیسے وہ اس جہاں کی تھی ہی نہیں

جس سے سیراب روح ہو جاتی

ایسی بارش کبھی ہوئی ہی نہیں

سینکڑوں زخم ہیں زمانے کے

دل میں یادوں کی اک انی ہی نہیں

قید آنکھوں میں ہے بیاباں بھی

غم کے کوزے میں اک ندی ہی نہیں

منیر سیفی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aql Ke Jal Mein Phansi Hi Nahin

Muneer Saifi

aql ke jal mein phansi hi nahin
zindagi aaj tak khuli hi nahin

mujh mein jita raha sada koi
zindagi apni main ne ji hi nahin

saKHt itni ana ki thi diwar
phir kisi bhi tarah giri hi nahin

main ne duniya sameT li to khula
kaam ki koi chiz thi hi nahin

chand ke sath ho gai ruKHsat
jaise wo is jahan ki thi hi nahin

jis se sairab ruh ho jati
aisi barish kabhi hui hi nahin

sainkaDon zaKHm hain zamane ke
dil mein yaadon ki ek ani hi nahin

qaid aankhon mein hai bayaban bhi
gham ke kuze mein ek nadi hi nahin

(507) ووٹ وصول ہوئے

You can read Aql Ke Jal Mein Phansi Hi Nahin written by Muneer Saifi at UrduPoint. Aql Ke Jal Mein Phansi Hi Nahin is one of the masterpieces written by Muneer Saifi. You can also find the complete poetry collection of Muneer Saifi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Saifi' above.

Aql Ke Jal Mein Phansi Hi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aql Ke Jal Mein Phansi Hi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.