Fasl-e-gul Aai Hawa Aur Hui, Urdu Ghazal By Munshi Thakur Parsad Talib

Fasl-e-gul Aai Hawa Aur Hui is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Munshi Thakur Parsad Talib. Fasl-e-gul Aai Hawa Aur Hui comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Fasl-e-gul Aai Hawa Aur Hui on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

فصل گل آئی ہوا اور ہوئی

منشی ٹھاکر پرساد طالب

فصل گل آئی ہوا اور ہوئی

باغ عالم کی فضا اور ہوئی

آنکھ کا ساتھ جو سرمے نے دیا

ذبح مخلوق خدا اور ہوئی

آئنہ توڑنے سے دل ٹوٹا

بندہ پرور یہ خطا اور ہوئی

ہے تپ ہجر ملے شربت وصل

کچھ نہ ہوگا جو دوا اور ہوئی

خاک جب عاشق وحشی کو ملی

تیز رو باد صبا اور ہوئی

نزع میں پوچھنے آئے ہیں وہ حال

جب قضا آئی ادا اور ہوئی

دل کو دیکھا جو گنہ سے تاریک

روح قالب سے خفا اور ہوئی

دست قاتل کو رنگا خوں نے مرے

سرخ رو اس سے حنا اور ہوئی

قتل طالبؔ کو نظر کافی تھی

مستزاد اس پہ حیا اور ہوئی

منشی ٹھاکر پرساد طالب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Fasl-e-gul Aai Hawa Aur Hui

Munshi Thakur Parsad Talib

fasl-e-gul aai hawa aur hui
bagh-e-alam ki faza aur hui

aankh ka sath jo surme ne diya
zabh maKHluq-e-KHuda aur hui

aaina toDne se dil TuTa
banda-parwar ye KHata aur hui

hai tap-e-hijr mile sharbat-e-wasl
kuchh na hoga jo dawa aur hui
KHak jab aashiq-e-wahshi ko mili
tez-rau baad-e-saba aur hui

naza mein puchhne aae hain wo haal
jab qaza aai ada aur hui

dil ko dekha jo gunah se tarik
ruh qalib se KHafa aur hui

dast-e-qatil ko ranga KHun ne mere
surKH-ru is se hina aur hui

qatl-e-'talib' ko nazar kafi thi
mustazad us pe haya aur hui

(380) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Fasl-e-gul Aai Hawa Aur Hui written by Munshi Thakur Parsad Talib at UrduPoint. Fasl-e-gul Aai Hawa Aur Hui is one of the masterpieces written by Munshi Thakur Parsad Talib. You can also find the complete poetry collection of Munshi Thakur Parsad Talib by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Munshi Thakur Parsad Talib' above.

Fasl-e-gul Aai Hawa Aur Hui is a widely read Urdu Ghazal. If you like Fasl-e-gul Aai Hawa Aur Hui, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.