Jis Ne Bandhe Hain Sare Par Mere, Urdu Ghazal By Musarrat Anjum

Jis Ne Bandhe Hain Sare Par Mere is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Musarrat Anjum. Jis Ne Bandhe Hain Sare Par Mere comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jis Ne Bandhe Hain Sare Par Mere on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جس نے باندھے ہیں سارے پر میرے

مسرت انجم

جس نے باندھے ہیں سارے پر میرے

اس کے ہی گرد ہیں سفر میرے

ایک خواہش نے کتنا توڑ دیا

کھو گئے مجھ سے سب ہنر میرے

غم یہ جاتے نہیں کسی جانب

ہو گئے ہیں کچھ اس قدر میرے

غیر محسوس بیڑیاں ہیں کئی

یوں بندھے تجھ سے سب سفر میرے

یوں تو کتنی دعائیں تھیں لیکن

بے ثمر ہی رہے شجر میرے

دے کے آزادیاں مجھے انجمؔ

روز اس نے تراشے پر میرے

مسرت انجم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jis Ne Bandhe Hain Sare Par Mere

Musarrat Anjum

jis ne bandhe hain sare par mere
us ke hi gird hain safar mere

ek KHwahish ne kitna toD diya
kho gae mujh se sab hunar mere

gham ye jate nahin kisi jaanib
ho gae hain kuchh is qadar mere

ghair mahsus beDiyan hain kai
yun bandhe tujh se sab safar mere

yun to kitni duaen thin lekin
be-samar hi rahe shajar mere

de ke aazadiyan mujhe 'anjum'
roz us ne tarashe par mere

(379) ووٹ وصول ہوئے

You can read Jis Ne Bandhe Hain Sare Par Mere written by Musarrat Anjum at UrduPoint. Jis Ne Bandhe Hain Sare Par Mere is one of the masterpieces written by Musarrat Anjum. You can also find the complete poetry collection of Musarrat Anjum by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Musarrat Anjum' above.

Jis Ne Bandhe Hain Sare Par Mere is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jis Ne Bandhe Hain Sare Par Mere, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.