Thak Ke BaiTha Tha Ki Manzil Nazar Aai Mujhko, Urdu Ghazal By Mushtaq Ahmad Noori

Thak Ke BaiTha Tha Ki Manzil Nazar Aai Mujhko is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mushtaq Ahmad Noori. Thak Ke BaiTha Tha Ki Manzil Nazar Aai Mujhko comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Thak Ke BaiTha Tha Ki Manzil Nazar Aai Mujhko on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تھک کے بیٹھا تھا کہ منزل نظر آئی مجھ کو

مشتاق احمد نوری

تھک کے بیٹھا تھا کہ منزل نظر آئی مجھ کو

حوصلہ دینے لگی آبلہ پائی مجھ کو

نذر کر دیتے ہیں وہ اپنی کمائی مجھ کو

سر اٹھانے نہیں دیتے مرے بھائی مجھ کو

میں جہاں جاتا ہوں اس پیکر نوری کے سوا

اور کچھ بھی نہیں دیتا ہے دکھائی مجھ کو

اس ستم پیشہ نے قربت کا نہ مرہم رکھا

عمر بھر دیتا رہا زخم جدائی مجھ کو

مشکلوں میں بھی مرے حوصلے شاداب رہے

روک سکتی ہی نہیں وقت کی کھائی مجھ کو

میں تو ہر سانس کو دیتا رہا جینے کا خراج

زندگی پھر بھی کبھی راس نہ آئی مجھ کو

اس سے برہم میں نہیں پھر بھی مگر میرا حریف

عمر بھر دیتا رہا اپنی صفائی مجھ کو

تیرے آنے کی خبر نے مجھے بے چین رکھا

سو گیا چاند مگر نیند نہ آئی مجھ کو

اسی امید پہ مرمر کے جئے جاتا ہوں

وہ مری قید سے کب دے گا رہائی مجھ کو

مجھ سے کچھ سننے پہ آمادہ نہ تھی خلق خدا

عمر بھر اس نے مگر اپنی سنائی مجھ کو

اک نئے غم سے شناسا کیا محرومی نے

زندگی جب بھی تری بزم میں لائی مجھ کو

وہ بھی شرمندہ نظر آتا ہے نوریؔ اکثر

نظر آتی ہی نہیں جس میں برائی مجھ کو

مشتاق احمد نوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Thak Ke BaiTha Tha Ki Manzil Nazar Aai Mujhko

Mushtaq Ahmad Noori

thak ke baiTha tha ki manzil nazar aai mujh ko
hausla dene lagi aabla-pai mujh ko

nazr kar dete hain wo apni kamai mujh ko
sar uThane nahin dete mere bhai mujh ko

main jahan jata hun is paikar-e-nuri ke siwa
aur kuchh bhi nahin deta hai dikhai mujh ko

is sitam-pesha ne qurbat ka na marham rakkha
umr-bhar deta raha zaKHm-e-judai mujh ko

mushkilon mein bhi mere hausle shadab rahe
rok sakti hi nahin waqt ki khai mujh ko

main to har sans ko deta raha jine ka KHiraj
zindagi phir bhi kabhi ras na aai mujh ko

us se barham main nahin phir bhi magar mera harif
umr-bhar deta raha apni safai mujh ko

tere aane ki KHabar ne mujhe bechain rakha
so gaya chand magar nind na aai mujh ko

isi ummid pe marmar ke jiye jata hun
wo meri qaid se kab dega rihai mujh ko

mujh se kuchh sunne pe aamada na thi KHalq-e-KHuda
umr-bhar us ne magar apni sunai mujh ko

ek nae gham se shanasa kiya mahrumi ne
zindagi jab bhi teri bazm mein lai mujh ko

wo bhi sharminda nazar aata hai 'nuri' akasr
nazar aati hi nahin jis mein burai mujh ko

(427) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Thak Ke BaiTha Tha Ki Manzil Nazar Aai Mujhko written by Mushtaq Ahmad Noori at UrduPoint. Thak Ke BaiTha Tha Ki Manzil Nazar Aai Mujhko is one of the masterpieces written by Mushtaq Ahmad Noori. You can also find the complete poetry collection of Mushtaq Ahmad Noori by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mushtaq Ahmad Noori' above.

Thak Ke BaiTha Tha Ki Manzil Nazar Aai Mujhko is a widely read Urdu Ghazal. If you like Thak Ke BaiTha Tha Ki Manzil Nazar Aai Mujhko, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.