Teri Ulfat Ko Jaga Rakkha Hai, Urdu Ghazal By Mushtaq Anjum

Teri Ulfat Ko Jaga Rakkha Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mushtaq Anjum. Teri Ulfat Ko Jaga Rakkha Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Teri Ulfat Ko Jaga Rakkha Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تیری الفت کو جگا رکھا ہے

مشتاق انجم

تیری الفت کو جگا رکھا ہے

دل میں طوفان اٹھا رکھا ہے

رنج و راحت ہیں گلے شکوے ہیں

کیسا گھر بار سجا رکھا ہے

اس کا احسان کہ اس کے دل نے

فاصلہ ہم سے سدا رکھا ہے

وقت کیوں ریت سا پھسلا جائے

ہم نے مٹھی میں دبا رکھا ہے

سامنے رہتے ہوئے بھی اس نے

خود کو پردے میں چھپا رکھا ہے

شاد ہر پل ہیں کہ ہم نے دل کو

خوگر درد بنا رکھا ہے

خار ہے جس کی زباں اس نے بھی

گھر کو پھولوں سے سجا رکھا ہے

کوئی جنبش پس پردہ ہو کبھی

سر ترے در سے لگا رکھا ہے

وہ بھی کیا دل ہے کہ جس میں انجمؔ

نام رکھا نہ پتا رکھا ہے

مشتاق انجم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Teri Ulfat Ko Jaga Rakkha Hai

Mushtaq Anjum

teri ulfat ko jaga rakkha hai
dil mein tufan uTha rakkha hai

ranj-o-rahat hain gile-shikwe hain
kaisa ghar-bar saja rakkha hai

us ka ehsan ki us ke dil ne
fasla hum se sada rakkha hai

waqt kyun ret sa phisla jae
hum ne muTThi mein daba rakkha hai

samne rahte hue bhi us ne
KHud ko parde mein chhupa rakkha hai

shad har pal hain ki hum ne dil ko
KHugar-e-dard bana rakkha hai

KHar hai jis ki zaban us ne bhi
ghar ko phulon se saja rakkha hai

koi jumbish pas-e-parda ho kabhi
sar tere dar se laga rakkha hai

wo bhi kya dil hai ki jis mein 'anjum'
nam rakkha na pata rakkha hai

(569) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Teri Ulfat Ko Jaga Rakkha Hai written by Mushtaq Anjum at UrduPoint. Teri Ulfat Ko Jaga Rakkha Hai is one of the masterpieces written by Mushtaq Anjum. You can also find the complete poetry collection of Mushtaq Anjum by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mushtaq Anjum' above.

Teri Ulfat Ko Jaga Rakkha Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Teri Ulfat Ko Jaga Rakkha Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.