Aah Kab Lab Par Nahin Hai Dagh Kab Dil Mein Nahin, Urdu Ghazal By Muzaffar Ali Aseer

Aah Kab Lab Par Nahin Hai Dagh Kab Dil Mein Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muzaffar Ali Aseer. Aah Kab Lab Par Nahin Hai Dagh Kab Dil Mein Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aah Kab Lab Par Nahin Hai Dagh Kab Dil Mein Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آہ کب لب پر نہیں ہے داغ کب دل میں نہیں

مظفر علی اسیر

آہ کب لب پر نہیں ہے داغ کب دل میں نہیں

کون سی شب ہے کہ گرمی اپنی محفل میں نہیں

بزم کی کثرت سے اندیشہ مرے دل میں نہیں

دل میں اس کی ہے جگہ میرے جو محفل میں نہیں

پنجۂ مژگان تر نے یہ اڑائیں دھجیاں

تار باقی ایک بھی دامان ساحل میں نہیں

خون ناحق کا ہمارے داغ مٹنے کا نہیں

تیغ میں ہوگا اگر دامان قاتل میں نہیں

پردہ دار چہرۂ یوسف نہیں ہے ہر نقاب

حسن لیلیٰ جلوہ گر ہر ایک محفل میں نہیں

نجد کا صحرا عجب صحرائے‌ وحشت خیز ہے

قیس کیا لیلیٰ کو بھی آرام منزل میں نہیں

جس طرف جی چاہے گا میرا نکل جاؤں گا میں

سیکڑوں دروازے ہیں حلقے سلاسل میں نہیں

حد سے باہر پاؤں جو رکھتا ہے ہوتا ہے خراب

گھر میں جو راحت مسافر کو ہے منزل میں نہیں

ڈوبتے جاتے ہیں کیوں کر لوگ حیرت ہے مجھے

قد آدم آب بحر تیغ قاتل میں نہیں

ہو گیا دہشت سے ایسا بسملوں کا خون خشک

ایک بھی دھبا لہو کا تیغ قاتل میں نہیں

مظفر علی اسیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aah Kab Lab Par Nahin Hai Dagh Kab Dil Mein Nahin

Muzaffar Ali Aseer

aah kab lab par nahin hai dagh kab dil mein nahin
kaun si shab hai ki garmi apni mahfil mein nahin

bazm ki kasrat se andesha mere dil mein nahin
dil mein us ki hai jagah mere jo mahfil mein nahin

panja-e-mizhgan-e-tar ne ye uDain dhajjiyan
tar baqi ek bhi daman-e-sahil mein nahin

KHun-e-nahaq ka hamare dagh miTne ka nahin
tegh mein hoga agar daman-e-qatil mein nahin

parda-dar chehra-e-yusuf nahin hai har naqab
husn-e-laila jalwa-gar har ek mahfil mein nahin

najd ka sahra ajab sahra-e-wahshat-KHez hai
qais kya laila ko bhi aaram manzil mein nahin

jis taraf ji chahega mera nikal jaunga main
saikaDon darwaze hain halqe salasil mein nahin

had se bahar panw jo rakhta hai hota hai KHarab
ghar mein jo rahat musafir ko hai manzil mein nahin

Dubte jate hain kyunkar log hairat hai mujhe
qadd-e-adam aab bahr-e-tegh-e-qatil mein nahin

ho gaya dahshat se aisa bismilon ka KHun KHushk
ek bhi dhabba lahu ka tegh-e-qatil mein nahin

(765) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aah Kab Lab Par Nahin Hai Dagh Kab Dil Mein Nahin written by Muzaffar Ali Aseer at UrduPoint. Aah Kab Lab Par Nahin Hai Dagh Kab Dil Mein Nahin is one of the masterpieces written by Muzaffar Ali Aseer. You can also find the complete poetry collection of Muzaffar Ali Aseer by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muzaffar Ali Aseer' above.

Aah Kab Lab Par Nahin Hai Dagh Kab Dil Mein Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aah Kab Lab Par Nahin Hai Dagh Kab Dil Mein Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.