Parde Mein Samt-e-gharb Ke Mahtab Bhi Gaya, Urdu Ghazal By Nabi Bakhsh Nayab

Parde Mein Samt-e-gharb Ke Mahtab Bhi Gaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nabi Bakhsh Nayab. Parde Mein Samt-e-gharb Ke Mahtab Bhi Gaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Parde Mein Samt-e-gharb Ke Mahtab Bhi Gaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پردہ میں سمت غرب کے مہتاب بھی گیا

نبی بخش نایاب

پردہ میں سمت غرب کے مہتاب بھی گیا

آیا نہ یار پاس مرا خواب بھی گیا

توبہ تو کی مگر نہ ہوئی دل کی کم ہوس

لو ہاتھ سے وہ جام مئے ناب بھی گیا

وہ سخت جاں ہوں میں کہ نہ آئی قضا مجھے

معدے میں بارہا مرے زہراب بھی گیا

مسجد میں سر جھکایا جو میں نے پئے نماز

سجدے کے ساتھ ہی خم محراب بھی گیا

سایہ فگن جو سر پہ مرے ابتدا سے تھا

ہے ہے وہ آج گلبن شاداب بھی گیا

یاد آئی ناخدا کو مری نا شناوری

سر پر سے جب گزر مرے سیلاب بھی گیا

آ یار ساتھ ساتھ شب پردہ پوش کے

اب تو فروغ مہر جہاں تاب بھی گیا

جادو خیال یار ہے اے ہم نشیں نہ پوچھ

پاس لحاظ داریٔ احباب بھی گیا

دنیا سے کیسے کیسے جفا کیش اٹھ گئے

ہم شادؔ ہی کو روتے تھے نایابؔ بھی گیا

نبی بخش نایاب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Parde Mein Samt-e-gharb Ke Mahtab Bhi Gaya

Nabi Bakhsh Nayab

parde mein samt-e-gharb ke mahtab bhi gaya
aaya na yar pas mera KHwab bhi gaya

tauba to ki magar na hui dil ki kam hawas
lo hath se wo jam-e-mai-e-nab bhi gaya

wo saKHt-jaan hun main ki na aai qaza mujhe
meade mein barha mere zahrab bhi gaya

masjid mein sar jhukaya jo main ne pa-e-namaz
sajde ke sath hi KHam-e-mehrab bhi gaya

saya-fagan jo sar pe mere ibtida se tha
hai hai wo aaj gulbun-e-shadab bhi gaya

yaad aai naKHuda ko meri na-shanawari
sar par se jab guzar mere sailab bhi gaya

aa yar sath sath shab-e-parda-posh ke
ab to farogh-e-mehr-e-jahan-tab bhi gaya

jadu KHayal-e-yar hai ai ham-nashin na puchh
pas-e-lihaz-dari-e-ahbab bhi gaya

duniya se kaise kaise jafa-kesh uTh gae
hum 'shad' hi ko rote the 'nayab' bhi gaya

(413) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Parde Mein Samt-e-gharb Ke Mahtab Bhi Gaya written by Nabi Bakhsh Nayab at UrduPoint. Parde Mein Samt-e-gharb Ke Mahtab Bhi Gaya is one of the masterpieces written by Nabi Bakhsh Nayab. You can also find the complete poetry collection of Nabi Bakhsh Nayab by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nabi Bakhsh Nayab' above.

Parde Mein Samt-e-gharb Ke Mahtab Bhi Gaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Parde Mein Samt-e-gharb Ke Mahtab Bhi Gaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.