Wo Dilkashi Jo Tere Husn Aur Jamal Mein Hai, Urdu Ghazal By Naeem Saba

Wo Dilkashi Jo Tere Husn Aur Jamal Mein Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naeem Saba. Wo Dilkashi Jo Tere Husn Aur Jamal Mein Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wo Dilkashi Jo Tere Husn Aur Jamal Mein Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہ دل کشی جو ترے حسن اور جمال میں ہے

نعیم صبا

وہ دل کشی جو ترے حسن اور جمال میں ہے

اسی کا عکس فروزاں مرے خیال میں ہے

خمار تشنہ لبی موسم جنوں خیزی

کبھی یہ ہجر میں ہے اور کبھی وصال میں ہے

کبھی سحر میں کبھی شام میں ہے جلوہ نما

وہ روشنی جو ترے حسن بے مثال میں ہے

وہ نغمگی جو درخشاں ہے تیرے جلوؤں میں

نہ روز و شب میں فروزاں نہ ماہ و سال میں ہے

سواد شام میں طاری ہے سحر اور فسوں

اسی کا رنگ ترے حسن لا زوال میں ہے

ہنوز جلوہ نما زندگی میں ہو نہ سکی

وہ تمکنت جو ترے قہر اور جلال میں ہے

شکست و ریخت سے ملتی ہے زندگی کو نمود

مرے وجود کا عنصر ترے کمال میں ہے

کسی جہت میں رواں ہے یہ کاروان حیات

بس ایک رخت سفر ہے جو ماہ و سال میں ہے

سحر قریب ہے بجھتی ہیں شب کی قندیلیں

فلک پہ ایک ستارا ہے سو زوال میں ہے

ترے جمال سے راہ وصال تک ہر ایک

جو مرحلہ ہے مری دسترس کے جال میں ہے

اب اور مجھ کو رلائے گی کیا شب ہجراں

مرا نصیب ترے کوچۂ ملال میں ہے

بہت کشش ہے تری سحر کار آنکھوں میں

عجیب حسن ادا تیرے خد و خال میں ہے

جنوں کی راہ میں ہر سمت ہے فریب نظر

چلوں جنوب کی جانب قدم شمال میں ہے

جواب اس نے دیا ہے اے نامہ بر لیکن

وہ بات اب بھی نہیں جو مرے سوال میں ہے

صباؔ عجیب سا جادو ہے اس کی آنکھوں میں

نہ سامری میں ہے نرگس میں نہ غزال میں ہے

نعیم صبا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wo Dilkashi Jo Tere Husn Aur Jamal Mein Hai

Naeem Saba

wo dilkashi jo tere husn aur jamal mein hai
usi ka aks farozan mere KHayal mein hai

KHumar-e-tishna-labi mausam-e-junun-KHezi
kabhi ye hijr mein hai aur kabhi visal mein hai

kabhi sahar mein kabhi sham mein hai jalwa-numa
wo raushni jo tere husn-e-be-misal mein hai

wo naghmagi jo daraKHshan hai tere jalwon mein
na roz-o-shab mein farozan na mah-o-sal mein hai

sawad-e-sham mein tari hai sehr aur fusun
usi ka rang tere husn-e-la-zawal mein hai

hanuz jalwa-numa zindagi mein ho na saki
wo tamkanat jo tere qahr aur jalal mein hai

shikast-o-reKHt se milti hai zindagi ko numud
mere wajud ka unsur tere kamal mein hai

kisi jihat mein rawan hai ye karwan-e-hayat
bas ek raKHt-e-safar hai jo mah-o-sal mein hai

sahar qarib hai bujhti hain shab ki qindilen
falak pe ek sitara hai so zawal mein hai

tere jamal se rah-e-visal tak har ek
jo marhala hai meri dastaras ke jal mein hai

ab aur mujh ko rulaegi kya shab-e-hijran
mera nasib tere kucha-e-malal mein hai

bahut kashish hai teri sehr-kar aankhon mein
ajib husn-e-ada tere KHadd-o-KHal mein hai

junun ki rah mein har samt hai fareb-e-nazar
chalun junub ki jaanib qadam shumal mein hai

jawab us ne diya hai ai nama-bar lekin
wo baat ab bhi nahin jo mere sawal mein hai

'saba' ajib sa jadu hai us ki aankhon mein
na samri mein hai nargis mein na ghazal mein hai

(474) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wo Dilkashi Jo Tere Husn Aur Jamal Mein Hai written by Naeem Saba at UrduPoint. Wo Dilkashi Jo Tere Husn Aur Jamal Mein Hai is one of the masterpieces written by Naeem Saba. You can also find the complete poetry collection of Naeem Saba by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naeem Saba' above.

Wo Dilkashi Jo Tere Husn Aur Jamal Mein Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wo Dilkashi Jo Tere Husn Aur Jamal Mein Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.