Nazm, Urdu Nazam By Nahid Akhtar Balooch

Nazm is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Nahid Akhtar Balooch. Nazm comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Nazm on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نظم

ناہید اختر بلوچ

رات کیسی مہربان ہے

روتی آنکھوں کے راز

اور بھیگے تکیوں کے

سارے بھرم رکھ لیتی ہے

رات سیاہ ہے مگر

سفید آنکھوں کا ہاتھ پکڑ کر

رنگین خوابوں کا راستہ دکھاتی ہے

کھردرے جسم کی ساری شکنیں

اپنے نازک بدن کی تہوں میں چھپا لیتی ہے

کبھی اپنی گود میں لے کر

تھپک تھپک کر سلاتی ہے

کبھی کاندھے سے لگائے

لوری سناتی ہے

دن بھر کے دکھوں کی ساری گرہیں

ایک ایک کر کے کھولتی ہے

بولتی نہیں پر سنتی ہے

میٹھی نیند کے جھولے میں سلا کر

بالوں میں ہاتھ پھیرتی

سرہانے بیٹھی اونگھتی رہتی ہے

کتنی پاگل ہے نا

مجھے تو رات بھی ماں لگتی ہے

ناہید اختر بلوچ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nazm

Nahid Akhtar Balooch

raat kaisi mehrban hai
roti aankhon ke raaz
aur bhige takiyon ke
sare bharam rakh leti hai
raat siyah hai magar
safed aankhon ka hath pakaD kar
rangin KHwabon ka rasta dikhati hai
khurdure jism ki sari shiknen
apne nazuk badan ki tahon mein chhupa leti hai
kabhi apni god mein le kar
thapak thapak kar sulati hai
kabhi kandhe se lagae
lori sunati hai
din bhar ke dukhon ki sari girhen
ek ek kar ke kholti hai
bolti nahin par sunti hai
miThi nind ke jhule mein sula kar
baalon mein hath pherti
sirhane baiThi unghti rahti hai
kitni pagal hai na
mujhe to raat bhi man lagti hai

(383) ووٹ وصول ہوئے

You can read Nazm written by Nahid Akhtar Balooch at UrduPoint. Nazm is one of the masterpieces written by Nahid Akhtar Balooch. You can also find the complete poetry collection of Nahid Akhtar Balooch by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nahid Akhtar Balooch' above.

Nazm is a widely read Urdu Nazam. If you like Nazm, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.