Ilm Ke Saudagar, Urdu Nazam By Naim Siddiqi

Ilm Ke Saudagar is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Naim Siddiqi. Ilm Ke Saudagar comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Ilm Ke Saudagar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

علم کے سوداگر

نعیم صدیقی

ہم علم کے سوداگر ہیں اور مکتب میں تجارت کرتے ہیں

سب کرتے ہیں تعریف ہماری دل میں حقارت کرتے ہیں

ہم میں سے کچھ ایسے بھی ہیں جو علم سے بالکل ہیں عاری

بہتر رہتا ہوتے وہ اگر کسی اور ہی چیز کے بیوپاری

ایسے بھی ہیں جو اوروں کی طرح چیزوں میں ملاوٹ کرتے ہیں

جو علم کی چوری کرتے ہیں وہ جھوٹی سجاوٹ کرتے ہیں

کچھ ایسے بد قسمت بھی ہیں جو مال تو اچھا رکھتے ہیں

اور بیچ نہیں سکتے اس کو عصمت کی طرح بازاروں میں

تشہیر کے راز سے ناواقف یہ سادہ دل بے نام بھی ہیں

اور جس کو غرور فن کہتے ہیں اس سے کچھ بد نام بھی ہیں

ہے ان کے نصیب میں فرہادی اور ہے شیریں اوروں کے لئے

کانٹوں کا تاج ہے ان کے لئے طوق زریں اوروں کے لئے

نعیم صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ilm Ke Saudagar

Naim Siddiqi

hum ilm ke saudagar hain aur maktab mein tijarat karte hain
sab karte hain tarif hamari dil mein hiqarat karte hain

hum mein se kuchh aise bhi hain jo ilm se bilkul hain aari
behtar rahta hote wo agar kisi aur hi chiz ke byopari

aise bhi hain jo auron ki tarah chizon mein milawaT karte hain
jo ilm ki chori karte hain wo jhuTi sajawaT karte hain

kuchh aise bad-qismat bhi hain jo mal to achchha rakhte hain
aur bech nahin sakte is ko ismat ki tarah bazaron mein

tashhir ke raaz se na-waqif ye sada-dil be-nam bhi hain
aur jis ko ghurur-e-fan kahte hain us se kuchh bad-nam bhi hain

hai un ke nasib mein farhadi aur hai shirin auron ke liye
kanTon ka taj hai un ke liye tauq-e-zarrin auron ke liye

(541) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ilm Ke Saudagar written by Naim Siddiqi at UrduPoint. Ilm Ke Saudagar is one of the masterpieces written by Naim Siddiqi. You can also find the complete poetry collection of Naim Siddiqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naim Siddiqi' above.

Ilm Ke Saudagar is a widely read Urdu Nazam. If you like Ilm Ke Saudagar, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.