Hasti Koi Aisi Bhi Hai Insan Ke Siwa Aur, Urdu Ghazal By Najm Aafandi

Hasti Koi Aisi Bhi Hai Insan Ke Siwa Aur is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Najm Aafandi. Hasti Koi Aisi Bhi Hai Insan Ke Siwa Aur comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hasti Koi Aisi Bhi Hai Insan Ke Siwa Aur on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہستی کوئی ایسی بھی ہے انساں کے سوا اور

نجم آفندی

ہستی کوئی ایسی بھی ہے انساں کے سوا اور

مذہب کا خدا اور ہے مطلب کا خدا اور

ہر جادۂ منزل میں ہے سجدے کی ادا اور

معبد کی فضا اور ہے مقتل کی فضا اور

پھر ٹھہر گیا قافلۂ درد سنا ہے

شاید کوئی رستہ میں مری طرح گرا اور

اک جرعۂ آخر کی کمی رہ گئی آخر

جتنی وہ پلاتے گئے آنکھوں نے کہا اور

منبر سے بہت فصل ہے میدان عمل کا

تقدیر کے مرد اور ہیں مردان وغا اور

اللہ گلہ کر کے میں پچھتایا ہوں کیا کیا

جب ختم ہوئی بات کہیں اس نے کہا اور

کتنے بھی ہوں کشتے مرض حرص و ہوا کے

بیمار کی موت اور ہے مرگ شہدا اور

کیا زیر لب اے دوست ہے اظہار جسارت

حق ہو کہ وہ ناحق ہو ذرا لے تو بڑھا اور

یہ وہم سا ہوتا ہے مجھے دیکھ کے ان کو

سیرت کا خدا اور ہے صورت کا خدا اور

دولت کا تو پہلے ہی گنہ گار تھا منعم

دولت کی محبت نے گنہ گار کیا اور

یہ دور جو اے نجمؔ ہے اردو کا مخالف

اس دور میں اردو کی ہوئی نشو و نما اور

نجم آفندی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hasti Koi Aisi Bhi Hai Insan Ke Siwa Aur

Najm Aafandi

hasti koi aisi bhi hai insan ke siwa aur
mazhab ka KHuda aur hai matlab ka KHuda aur

har jada-e-manzil mein hai sajde ki ada aur
mabad ki faza aur hai maqtal ki faza aur

phir Thahr gaya qafila-e-dard suna hai
shayad koi raste mein meri tarah gira aur

ek jura-e-aKHir ki kami rah gai aaKHir
jitni wo pilate gae aankhon ne kaha aur

mimbar se bahut fasl hai maidan-e-amal ka
taqdir ke mard aur hain mardan-e-wigha aur

allah gila kar ke main pachhtaya hun kya kya
jab KHatm hui baat kahin us ne kaha aur

kitne bhi hon kushte maraz-e-hirs-o-hawa ke
bimar ki maut aur hai marg-e-shohada aur

kya zer-e-lab ai dost hai izhaar-e-jasarat
haq ho ki wo nahaq ho zara lai to baDha aur

ye wahm sa hota hai mujhe dekh ke in ko
sirat ka KHuda aur hai surat ka KHuda aur

daulat ka to pahle hi gunahgar tha munim
daulat ki mohabbat ne gunahgar kiya aur

ye daur jo ai 'najm' hai urdu ka muKHalif
is daur mein urdu ki hui nashw-o-numa aur

(477) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hasti Koi Aisi Bhi Hai Insan Ke Siwa Aur written by Najm Aafandi at UrduPoint. Hasti Koi Aisi Bhi Hai Insan Ke Siwa Aur is one of the masterpieces written by Najm Aafandi. You can also find the complete poetry collection of Najm Aafandi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Najm Aafandi' above.

Hasti Koi Aisi Bhi Hai Insan Ke Siwa Aur is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hasti Koi Aisi Bhi Hai Insan Ke Siwa Aur, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.