Jis Ko Sau Aasaniyan Thin Wo Bhi Kuchh Mushkil Mein Hai, Urdu Ghazal By Najm Aafandi

Jis Ko Sau Aasaniyan Thin Wo Bhi Kuchh Mushkil Mein Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Najm Aafandi. Jis Ko Sau Aasaniyan Thin Wo Bhi Kuchh Mushkil Mein Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jis Ko Sau Aasaniyan Thin Wo Bhi Kuchh Mushkil Mein Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جس کو سو آسانیاں تھیں وہ بھی کچھ مشکل میں ہے

نجم آفندی

جس کو سو آسانیاں تھیں وہ بھی کچھ مشکل میں ہے

میں سمجھتا ہوں تمہارا دل بھی میرے دل میں ہے

جذبۂ درد محبت کو مسلسل دیکھ کر

پوچھتا پھرتا ہوں دنیا کون سی منزل میں ہے

ذبح کرتا ہے مجھے روتا ہے میرے حال پر

میری فطرت بھی خدا رکھے مرے قاتل میں ہے

بندگی کا حق بتاتا ہوں خداوندی کو میں

ہاتھ پھیلانے کا دھبہ دامن سائل میں ہے

یاد کر ظالم مرے دل کا تڑپنا یاد کر

حیرت جلوہ کا سناٹا تری محفل میں ہے

سعیٔ حاصل میں بھی اک لذت ہے دو دن چار دن

پوچھئے ہم سے مزا جو سعئ لا حاصل میں ہے

مرحبا ذوق اسیری قدرت فکر و نظر

دہنے بائیں جس کو دیکھا قید آب و گل میں ہے

یہ دعا مانگی مرے دل میں نہ ہو کچھ انقلاب

انقلاب دہر شامل انقلاب دل میں ہے

دوسری دنیا سے کیوں آئے پیام زندگی

روح اپنی کوششیں آزادئ کامل میں ہے

نجمؔ یہ خندہ جبینی ہر بلائے عشق پر

کس تبسم کا خزانہ میرے آب و گل میں ہے

نجم آفندی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jis Ko Sau Aasaniyan Thin Wo Bhi Kuchh Mushkil Mein Hai

Najm Aafandi

jis ko sau aasaniyan thin wo bhi kuchh mushkil mein hai
main samajhta hun tumhaara dil bhi mere dil mein hai

jazba-e-dard-e-mohabbat ko musalsal dekh kar
puchhta phirta hun duniya kaun si manzil mein hai

zabh karta hai mujhe rota hai mere haal par
meri fitrat bhi KHuda rakkhe mere qatil mein hai

bandagi ka haq batata hun KHudawandi ko main
hath phailane ka dhabba daman-e-sail mein hai

yaad kar zalim mere dil ka taDapna yaad kar
hairat-e-jalwa ka sannaTa teri mahfil mein hai

sai-e-hasil mein bhi ek lazzat hai do din chaar din
puchhiye hum se maza jo sai-e-la-hasil mein hai

marhaba zauq-e-asiri qudrat-e-fikr-o-nazar
dahne baen jis ko dekha qaid aab-o-gil mein hai

ye dua mangi mere dil mein na ho kuchh inqalab
inqilab-e-dahr shamil inqalab-e-dil mein hai

dusri duniya se kyon aae payam-e-zindagi
ruh apni koshishen aazadi-e-kaamil mein hai

'najm' ye KHanda-jabini har bala-e-ishq par
kis tabassum ka KHazana mere aab-o-gil mein hai

(491) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jis Ko Sau Aasaniyan Thin Wo Bhi Kuchh Mushkil Mein Hai written by Najm Aafandi at UrduPoint. Jis Ko Sau Aasaniyan Thin Wo Bhi Kuchh Mushkil Mein Hai is one of the masterpieces written by Najm Aafandi. You can also find the complete poetry collection of Najm Aafandi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Najm Aafandi' above.

Jis Ko Sau Aasaniyan Thin Wo Bhi Kuchh Mushkil Mein Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jis Ko Sau Aasaniyan Thin Wo Bhi Kuchh Mushkil Mein Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.