Zist Ki Had Hai Jahan Tak Himmat-e-mardana Hai, Urdu Ghazal By Najm Aafandi

Zist Ki Had Hai Jahan Tak Himmat-e-mardana Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Najm Aafandi. Zist Ki Had Hai Jahan Tak Himmat-e-mardana Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zist Ki Had Hai Jahan Tak Himmat-e-mardana Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زیست کی حد ہے جہاں تک ہمت مردانہ ہے

نجم آفندی

زیست کی حد ہے جہاں تک ہمت مردانہ ہے

آدمی تاریخ ہے اور آدمی افسانہ ہے

خم کہیں بھرپور ہے خالی کہیں پیمانہ ہے

تو کہاں سوئی ہوئی اے جرأت رندانہ ہے

ساری دنیا اک فریب جلوۂ جانانہ ہے

یہ حرم ہے دور سے نزدیک سے بت خانہ ہے

وقت کا میری طرح ان کو بھی ہے شکوہ مگر

میرے شکوہ کا ذرا انداز بیباکانہ ہے

یہ کسی نے بھی نہ دیکھا آگ پروانے میں تھی

یہ زمانہ دیکھتا ہے آگ میں پروانہ ہے

کچھ ہوا دے دیں اگر بیرون در کی کوششیں

گھر جلانے کے لئے حاضر چراغ خانہ ہے

تشنگیٔ شوق منزل تک سلامت لے کے جا

ہوشیار اے راہ رو ہر موڑ پر مے خانہ ہے

پرسش احوال پر جز شکر کچھ کہتے نہیں

بوریے پر بھی مزاج اہل دل شاہانہ ہے

نجم آفندی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zist Ki Had Hai Jahan Tak Himmat-e-mardana Hai

Najm Aafandi

zist ki had hai jahan tak himmat-e-mardana hai
aadmi tariKH hai aur aadmi afsana hai

KHum kahin bharpur hai KHali kahin paimana hai
tu kahan soi hui ai jurat-e-rindana hai

sari duniya ek fareb-e-jalwa-e-jaanana hai
ye haram hai dur se nazdik se but-KHana hai

waqt ka meri tarah un ko bhi hai shikwa magar
mere shikwa ka zara andaz bebakana hai

ye kisi ne bhi na dekha aag parwane mein thi
ye zamana dekhta hai aag mein parwana hai

kuchh hawa de den agar bairun-e-dar ki koshishen
ghar jalane ke liye hazir charagh-e-KHana hai

tishnagi-e-shauq manzil tak salamat le ke ja
hoshiyar ai rah-rau har moD par mai-KHana hai

pursish-e-ahwal par juz-shukr kuchh kahte nahin
boriye par bhi mizaj-e-ahl-e-dil shahana hai

(495) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zist Ki Had Hai Jahan Tak Himmat-e-mardana Hai written by Najm Aafandi at UrduPoint. Zist Ki Had Hai Jahan Tak Himmat-e-mardana Hai is one of the masterpieces written by Najm Aafandi. You can also find the complete poetry collection of Najm Aafandi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Najm Aafandi' above.

Zist Ki Had Hai Jahan Tak Himmat-e-mardana Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zist Ki Had Hai Jahan Tak Himmat-e-mardana Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.