Ye Bazm-e-shab Hai Yahan Ilm-o-agahi Kam Hai, Urdu Ghazal By Nami Ansari

Ye Bazm-e-shab Hai Yahan Ilm-o-agahi Kam Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nami Ansari. Ye Bazm-e-shab Hai Yahan Ilm-o-agahi Kam Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Bazm-e-shab Hai Yahan Ilm-o-agahi Kam Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ بزم شب ہے یہاں علم و آگہی کم ہے

نامی انصاری

یہ بزم شب ہے یہاں علم و آگہی کم ہے

کئی چراغ جلے پھر بھی روشنی کم ہے

اسی لئے تو مری اس سے دوستی کم ہے

وہ خود پرست زیادہ ہے آدمی کم ہے

یہی بہت ہے کہ پانی کو چھو لیا ہم نے

بڑا ہے بحر محبت شناوری کم ہے

ہوائے گرم چلی یوں کہ بجھ گئے چہرے

گلوں میں اب کے برس بھی شگفتگی کم ہے

کہاں کے عشق و محبت کہاں کے علم و ہنر

خمار شوق زیادہ ہے آگہی کم ہے

خطا ہے اپنی کہ ماحول ہے زمانے کا

نگاہ گرم بہت صلح و آشتی کم ہے

فضا بدلنے سے دل تو بدل نہیں جاتے

وہ انقلاب ہے کیا جس کی زندگی کم ہے

خیال تازہ امڈتے ہیں بادلوں کی طرح

مجھے یہ غم کہ مرا ظرف شاعری کم ہے

مری دعائیں سبھی رائیگاں گئیں نامیؔ

نہ آسمان ہے روشن نہ تیرگی کم ہے

نامی انصاری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Bazm-e-shab Hai Yahan Ilm-o-agahi Kam Hai

Nami Ansari

ye bazm-e-shab hai yahan ilm-o-agahi kam hai
kai charagh jale phir bhi raushni kam hai

isi liye to meri us se dosti kam hai
wo KHud-parast ziyaada hai aadmi kam hai

yahi bahut hai ki pani ko chhu liya hum ne
baDa hai bahr-e-mohabbat shanawari kam hai

hawa-e-garm chali yun ki bujh gae chehre
gulon mein ab ke baras bhi shaguftagi kam hai

kahan ke ishq-o-mohabbat kahan ke ilm-o-hunar
KHumar-e-shauq ziyaada hai aagahi kam hai

KHata hai apni ki mahaul hai zamane ka
nigah-e-garm bahut sulh-o-ashti kam hai

faza badalne se dil to badal nahin jate
wo inqalab hai kya jis ki zindagi kam hai

KHayal-e-taza umaDte hain baadalon ki tarah
mujhe ye gham ki mera zarf-e-shairi kam hai

meri duaen sabhi raegan gain 'nami'
na aasman hai raushan na tirgi kam hai

(496) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Bazm-e-shab Hai Yahan Ilm-o-agahi Kam Hai written by Nami Ansari at UrduPoint. Ye Bazm-e-shab Hai Yahan Ilm-o-agahi Kam Hai is one of the masterpieces written by Nami Ansari. You can also find the complete poetry collection of Nami Ansari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nami Ansari' above.

Ye Bazm-e-shab Hai Yahan Ilm-o-agahi Kam Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Bazm-e-shab Hai Yahan Ilm-o-agahi Kam Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.