KHud Aazma Ke Bhi Dawe Ajal Ke Dekhte Hain, Urdu Ghazal By Nami Ansari

KHud Aazma Ke Bhi Dawe Ajal Ke Dekhte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nami Ansari. KHud Aazma Ke Bhi Dawe Ajal Ke Dekhte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHud Aazma Ke Bhi Dawe Ajal Ke Dekhte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خود آزما کے بھی دعوے اجل کے دیکھتے ہیں

نامی انصاری

خود آزما کے بھی دعوے اجل کے دیکھتے ہیں

دیار شوق میں اک بار چل کے دیکھتے ہیں

پگھلتی ہے کہ نہیں برف نا شناسائی

کسی کی گرم نگاہی سے جل کے دیکھتے ہیں

یہ دشت ہو سر گلشن کہاں سے آ نکلا

یہ معجزہ ہے تو گھر سے نکل کے دیکھتے ہیں

جنہیں ملی ہی نہیں چشم و دل کی بینائی

تماشے وہ بھی خمار ازل کے دیکھتے ہیں

اسی کے ذکر سے محفل میں پھول کھلتے تھے

وہ آ گیا ہے تو سب آنکھ مل کے دیکھتے ہیں

کسی کو آج کے حالات پر قرار نہیں

ہمارے شہر میں سب خواب کل کے دیکھتے ہیں

ابھی تو لمس بدن کا حساب باقی ہے

تعلقات کے پہلو بدل کے دیکھتے ہیں

نہ کوئی نعرۂ تحسیں نما نہ داد سخن

کہ سننے والے بھی تیور غزل کے دیکھتے ہیں

نہ جانے کب سر آئینہ خوف لکھ جائے

ہم اپنا چہرہ بھی نامیؔ سنبھل کے دیکھتے ہیں

نامی انصاری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHud Aazma Ke Bhi Dawe Ajal Ke Dekhte Hain

Nami Ansari

KHud aazma ke bhi dawe ajal ke dekhte hain
dayar-e-shauq mein ek bar chal ke dekhte hain

pighalti hai ki nahin barf-e-na-shanasai
kisi ki garam-nigahi se jal ke dekhte hain

ye dasht-e-hu sar-e-gulshan kahan se aa nikla
ye moajiza hai to ghar se nikal ke dekhte hain

jinhen mili hi nahin chashm-o-dil ki binai
tamashe wo bhi KHumar-e-azal ke dekhte hain

usi ke zikr se mahfil mein phul khilte the
wo aa gaya hai to sab aankh mal ke dekhte hain

kisi ko aaj ke haalat par qarar nahin
hamare shahr mein sab KHwab kal ke dekhte hain

abhi to lams-e-badan ka hisab baqi hai
talluqat ke pahlu badal ke dekhte hain

na koi nara-e-tahsin-numa na dad-e-suKHan
ki sunne wale bhi tewar ghazal ke dekhte hain

na jaane kab sar-e-aina KHauf likh jae
hum apna chehra bhi 'nami' sambhal ke dekhte hain

(511) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHud Aazma Ke Bhi Dawe Ajal Ke Dekhte Hain written by Nami Ansari at UrduPoint. KHud Aazma Ke Bhi Dawe Ajal Ke Dekhte Hain is one of the masterpieces written by Nami Ansari. You can also find the complete poetry collection of Nami Ansari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nami Ansari' above.

KHud Aazma Ke Bhi Dawe Ajal Ke Dekhte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHud Aazma Ke Bhi Dawe Ajal Ke Dekhte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.