KHafi Raha Ya Jali Aalam-e-shuhud Mein Tha, Urdu Ghazal By Naqqash Ali Balooch

KHafi Raha Ya Jali Aalam-e-shuhud Mein Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naqqash Ali Balooch. KHafi Raha Ya Jali Aalam-e-shuhud Mein Tha comes under the Social, Sufi category of Urdu Ghazal. You can read KHafi Raha Ya Jali Aalam-e-shuhud Mein Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خفی رہا یا جلی عالم شہود میں تھا

نقاش علی بلوچ

خفی رہا یا جلی عالم شہود میں تھا

میں امر کن سے بھی پہلے کسی وجود میں تھا

کسی صدا نے برانگیختہ کیا مجھ کو

وگرنہ میں بھی اسی حلقۂ خمود میں تھا

مجھے شعور دیا بعثت پیمبر نے

پھر اس کے بعد میں اللہ کے جنود میں تھا

مجھے حسین نے ذرے سے ماہتاب کیا

میں بے نشان تماشائے ہست و بود میں تھا

نہ جد و جہد مسلسل نے سوز و ساز حیات

مثال شجر زمیں بوس میں جمود میں تھا

اندھیری رات میں ندرت ملی ستارے کو

تمام روز وہ ڈوبا ہوا کبود میں تھا

تلاش منزل ہستی میں خاک بازی کی

مرا مقام مگر قلعۂ عمود میں تھا

مجھے قیام کے قابل کیا ارادے نے

میں ایک عمر تلک حالت قعود میں تھا

وہ کر و فر تخیل کے ناشران تو تھے

مگر ہر ایک نمائش میں یا نمود میں تھا

میں مد و جزر تخیل کو اس کے نام کروں

کہ جس کا ذکر ہمیشہ مرے درود میں تھا

وہ تخت خاک پہ بیٹھا وہی قلندر ہے

کہ جس کے سامنے جبریل بھی سجود میں تھا

متاع قافلۂ عشق جب لٹی نقاشؔ

وہ میرے ملک ستم کیش کی حدود میں تھا

نقاش علی بلوچ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHafi Raha Ya Jali Aalam-e-shuhud Mein Tha

Naqqash Ali Balooch

KHafi raha ya jali aalam-e-shuhud mein tha
main amr-e-kun se bhi pahle kisi wajud mein tha

kisi sada ne barangeKHta kiya mujh ko
wagarna main bhi isi halqa-e-KHumud mein tha

mujhe shuur diya beasat-e-payambar ne
phir is ke baad main allah ke junud mein tha

mujhe husain ne zarre se mahtab kiya
main be-nishan tamasha-e-hast-o-bud mein tha

na jidd-o-jahd-e-musalsal ne soz-o-saz-e-hayat
misal-e-shajr zamin-bos main jumud mein tha

andheri raat mein nudrat mili sitare ko
tamam roz wo Duba hua kabud mein tha

talash-e-manzil-e-hasti mein KHak-bazi ki
mera maqam magar qila-e-umud mein tha

mujhe qayam ke qabil kiya irade ne
main ek umr talak haalat-e-quud mein tha

wo karr-o-far-e-taKHayyul ke nashiran to the
magar har ek numaish mein ya numud mein tha

main madd-o-jazr-e-taKHayyul ko us ke nam karun
ki jis ka zikr hamesha mere darud mein tha

wo taKHt-e-KHak pe baiTha wahi qalandar hai
ki jis ke samne jibril bhi sujud mein tha

mata-e-qafila-e-ishq jab luTi 'naqqash'
wo mere mulk-e-sitam-kesh ki hudud mein tha

(472) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHafi Raha Ya Jali Aalam-e-shuhud Mein Tha written by Naqqash Ali Balooch at UrduPoint. KHafi Raha Ya Jali Aalam-e-shuhud Mein Tha is one of the masterpieces written by Naqqash Ali Balooch. You can also find the complete poetry collection of Naqqash Ali Balooch by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naqqash Ali Balooch' above.

KHafi Raha Ya Jali Aalam-e-shuhud Mein Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHafi Raha Ya Jali Aalam-e-shuhud Mein Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.