KHayalon Ki Bulandi Zat Ki Khai Se Behtar Hai, Urdu Ghazal By Naseem Nikhat

KHayalon Ki Bulandi Zat Ki Khai Se Behtar Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naseem Nikhat. KHayalon Ki Bulandi Zat Ki Khai Se Behtar Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHayalon Ki Bulandi Zat Ki Khai Se Behtar Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خیالوں کی بلندی ذات کی کھائی سے بہتر ہے

نسیم نکہت

خیالوں کی بلندی ذات کی کھائی سے بہتر ہے

سمندر تیرا ساحل تیری گہرائی سے بہتر ہے

یہ میلا پیرہن کردار کی کائی سے بہتر ہے

بھلائی کے لئے اک جھوٹ سچائی سے بہتر ہے

مرے منصف سزا دے یا مجھے انصاف جلدی دے

ترا ہر فیصلہ برسوں میں سنوائی سے بہتر ہے

اگر منزل نہ مل پائے تو رستے میں ٹھہر جاؤ

سفر موقوف کرنا آبلہ پائی سے بہتر ہے

مرے ہر درد کو محسوس کرنا بانٹنا ہر غم

حقیقت یہ ہے وہ میرے سگے بھائی سے بہتر ہے

سکوں ملتا ہے دنیا بھر کے جھگڑوں سے یہاں آ کر

یہ دفتر کی عمارت گھر کی انگنائی سے بہتر ہے

سڑک پر یوں ہی آوارہ بھٹکنا اچھا لگتا ہے

یہاں جو شور ہے اندر کی تنہائی سے بہتر ہے

مری عمر رواں کے ساتھ یہ بھی بڑھتا جاتا ہے

مرا بیٹا مری آنکھوں کی بینائی سے بہتر ہے

کم از کم غیر رک کر خیریت تو پوچھ لیتے ہیں

سنا ہے اجنبیت اب شناسائی سے بہتر ہے

کیا ہے منتخب بیٹی نے جس کو تم بھی اپنا لو

زمانہ کہہ رہا ہے گھر کی رسوائی سے بہتر ہے

نسیم نکہت

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHayalon Ki Bulandi Zat Ki Khai Se Behtar Hai

Naseem Nikhat

KHayalon ki bulandi zat ki khai se behtar hai
samundar tera sahil teri gahrai se behtar hai

ye maila pairahan kirdar ki kai se behtar hai
bhalai ke liye ek jhuT sachchai se behtar hai

mere munsif saza de ya mujhe insaf jaldi de
tera har faisla barson mein sunwai se behtar hai

agar manzil na mil pae to raste mein Thahar jao
safar mauquf karna aabla-pai se behtar hai

mere har dard ko mahsus karna banTana har gham
haqiqat ye hai wo mere sage bhai se behtar hai

sukun milta hai duniya bhar ke jhagDon se yahan aa kar
ye daftar ki imarat ghar ki angnai se behtar hai

saDak par yunhi aawara bhaTakna achchha lagta hai
yahan jo shor hai andar ki tanhai se behtar hai

meri umr-e-rawan ke sath ye bhi baDhta jata hai
mera beTa meri aankhon ki binai se behtar hai

kam-az-kam ghair ruk kar KHairiyat to puchh lete hain
suna hai ajnabiyyat ab shanasai se behtar hai

kiya hai muntaKHab beTi ne jis ko tum bhi apna lo
zamana kah raha hai ghar ki ruswai se behtar hai

(615) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHayalon Ki Bulandi Zat Ki Khai Se Behtar Hai written by Naseem Nikhat at UrduPoint. KHayalon Ki Bulandi Zat Ki Khai Se Behtar Hai is one of the masterpieces written by Naseem Nikhat. You can also find the complete poetry collection of Naseem Nikhat by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naseem Nikhat' above.

KHayalon Ki Bulandi Zat Ki Khai Se Behtar Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHayalon Ki Bulandi Zat Ki Khai Se Behtar Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.