Begam Aur Shaeri, Urdu Nazam By Nashtar Amrohvi

Begam Aur Shaeri is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Nashtar Amrohvi. Begam Aur Shaeri comes under the Love, Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Begam Aur Shaeri on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بیگم اور شاعری

نشتر امروہوی

ایک دن مجھ سے یہ فرمانے لگی بیوی مری

میری سوتن بن گئی ہے آپ کی یہ شاعری

وہ یہ کہہ کر مجھ سے کرتی ہے ہمیشہ احتجاج

شاعری سے آپ کی ہوتا ہے مجھ کو اختلاج

سوچتی ہوں کس طرح ہوگا ہمارا اب نباہ

مجھ کو روٹی چاہئے اور آپ کو بس واہ واہ

مجھ کو رہتی ہے سدا بچوں کے مستقبل کی دھن

آپ بیٹھے کر رہے ہیں فاعلاتن فاعلن

رات کافی ہو چکی ہے نیند میں بچے ہیں دھت

آپ یوں ساکت ہوئے بیٹھے ہیں جیسے کوئی بت

میں یہ کہتی ہوں چکا دیجے جو پچھلا قرض ہے

آپ اپنی دھن میں کہتے ہیں کہ مطلع عرض ہے

میں یہ کہتی ہوں کہ دیکھا کیجئے موقع محل

چھیڑ دیتے ہیں کہیں بھی غیر مطبوعہ غزل

مان لیتی ہوں میں چلئے آپ ہیں شاعر گریٹ

شاعری سے بھر نہیں سکتا مگر بچوں کا پیٹ

اپنے ہندستان میں مردہ پرستی عام ہے

جتنے شاعر مر چکے ہیں بس انہیں کا نام ہے

جب تلک زندہ رہے پیسے نہ تھے کرنے کو خرچ

مر گئے تو ہو رہی ہے مرزا غالبؔ پر ریسرچ

میں یہ بولا بند کر اپنا یہ بے ہودہ کلام

تجھ کو کیا معلوم کیا ہے ایک شاعر کا مقام

جھوٹ ہے شامل تصنع ہے نہ کچھ اس میں دروغ

شاعری سے پا رہی ہے آج بھی اردو فروغ

ہوں ثنا خواں میں فگارؔ و ساغرؔ و شہبازؔ کا

رخ بدل ڈالا جنہوں نے شعر کے پرواز کا

نشتر امروہوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Begam Aur Shaeri

Nashtar Amrohvi

ek din mujh se ye farmane lagi biwi meri
meri sautan ban gai hai aap ki ye shaeri

wo ye kah kar mujh se karti hai hamesha ehtijaj
shaeri se aap ki hota hai mujh ko iKHtilaj

sochti hun kis tarah hoga hamara ab nibah
mujh ko roTi chahiye aur aap ko bas wah wah

mujh ko rahti hai sada bachchon ke mustaqbil ki dhun
aap baiThe kar rahe hain faelatun faelun

raat kafi ho chuki hai nind mein bachche hain dhut
aap yun sakit hue baiThe hain jaise koi but

main ye kahti hun chuka dije jo pichhla qarz hai
aap apni dhun mein kahte hain ki matla arz hai

main ye kahti hun ki dekha kijiye mauqa-mahal
chheD dete hain kahin bhi ghair-matbua ghazal

man leti hun main chaliye aap hain shaer great
shaeri se bhar nahin sakta magar bachchon ka peT

apne hindustan mein murda-parasti aam hai
jitne shaer mar chuke hain bas unhin ka nam hai

jab talak zinda rahe paise na the karne ko KHarch
mar gae to ho rahi hai mirza-'ghaalib' par research

main ye bola band kar apna ye ba-huda kalam
tujh ko kya malum kya hai ek shaer ka maqam

jhuT hai shamil tasanno hai na kuchh is mein darogh
shaeri se pa rahi hai aaj bhi urdu farogh

hun sana-KHwan main 'figar'-o-'saghar'-o-'shahbaz' ka
ruKH badal Dala jinhon ne sher ke parwaz ka

(956) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Begam Aur Shaeri written by Nashtar Amrohvi at UrduPoint. Begam Aur Shaeri is one of the masterpieces written by Nashtar Amrohvi. You can also find the complete poetry collection of Nashtar Amrohvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nashtar Amrohvi' above.

Begam Aur Shaeri is a widely read Urdu Nazam. If you like Begam Aur Shaeri, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.