Shadi Ke Baad, Urdu Ghazal By Nashtar Amrohvi

Shadi Ke Baad is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nashtar Amrohvi. Shadi Ke Baad comes under the Funny category of Urdu Ghazal. You can read Shadi Ke Baad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شادی کے بعد

نشتر امروہوی

شادی تو ہو گئی ہے مگر اب یہ حال ہے

پاکٹ میں کوئی پیسہ نہیں بس رومال ہے

ننانوے کے پھیر میں ایسے پھنسے کہ اب

بیگم کی کوئی فکر نہ اپنا خیال ہے

تنخواہ کم ہے اور بہت گھر کا خرچ ہے

دن رات بس زبان پہ یہ ہی سوال ہے

درگت بنے ہے چائے میں بسکٹ کی جس طرح

شادی کے بعد لوگو وہی میرا حال ہے

ڈرتا ہوں یوں کہ ڈانٹ نہ پڑ جائے پھر کہیں

بیگم کی بات ٹالوں مری کیا مجال ہے

بیگم کی لعن طعن ہے اور میری شاعری

اک شعر گھر میں بیٹھ کے کہنا محال ہے

کہتی ہے مجھ سے جھونک دو چولھے میں شاعری

یہ شاعری نہیں مری سوتن چھنال ہے

نشتر امروہوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shadi Ke Baad

Nashtar Amrohvi

shadi to ho gai hai magar ab ye haal hai
pocket mein koi paisa nahin bas rumal hai

ninnanwe ke pher mein aise phanse ki ab
begam ki koi fikr na apna KHayal hai

tanKHwah kam hai aur bahut ghar ka KHarch hai
din-raat bas zaban pe ye hi sawal hai

durgat bane hai chae mein biscuit ki jis tarah
shadi ke baad logo wahi mera haal hai

Darta hun yun ki DanT na paD jae phir kahin
begam ki baat Talun meri kya majal hai

begam ki lan-tan hai aur meri shaeri
ek sher ghar mein baiTh ke kahna muhaal hai

kahti hai mujh se jhonk do chulhe mein shaeri
ye shaeri nahin meri sautan chhinal hai

(1721) ووٹ وصول ہوئے

You can read Shadi Ke Baad written by Nashtar Amrohvi at UrduPoint. Shadi Ke Baad is one of the masterpieces written by Nashtar Amrohvi. You can also find the complete poetry collection of Nashtar Amrohvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nashtar Amrohvi' above.

Shadi Ke Baad is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shadi Ke Baad, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Funny Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.