Unki Baaton Ko Kuchh Qiyam Nahin, Urdu Ghazal By Nashtar Chaprawi

Unki Baaton Ko Kuchh Qiyam Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nashtar Chaprawi. Unki Baaton Ko Kuchh Qiyam Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Unki Baaton Ko Kuchh Qiyam Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ان کی باتوں کو کچھ قیام نہیں

نشتر چھپروی

ان کی باتوں کو کچھ قیام نہیں

صبح کہتے ہیں ہاں تو شام نہیں

ذکر دشمن پہ کیوں بگڑتے ہو

مہرباں آپ کا تو نام نہیں

مجھ کو کمبخت کیوں کہو ہر دم

میری جاں یہ تو میرا نام نہیں

برہمن ہم ہوئے مسلماں سے

اب بھی کافر تو ہوگا رام نہیں

در پہ ہے پاسبان میرے لئے

غیر جائے تو روک تھام نہیں

غیر پر خم کے خم لنڈھاتے ہو

میرے حصے کا کوئی جام نہیں

مست ہو کر وہ شیخ کا کہنا

مفت کی ہو تو مے حرام نہیں

جب کہا تم عدو پہ مرتے ہو

بولے اس میں کوئی کلام نہیں

غیر کیوں جا رہے ہیں مقتل کو

امتحاں میرا قتل عام نہیں

بس تمہارا غلام ہو کے رہوں

چاہئے مجھ کو اور نام نہیں

مست رکھتی ہے چشم مست اس کی

مجھ کو اب آرزوئے جام نہیں

ہنس پڑے ذکر وصل دشمن پر

یعنی میرا خیال خام نہیں

عید کا دن ہے پی بھی لے اک جام

اب تو زاہد مہ صیام نہیں

تیری عیاریاں سمجھتا ہوں

تجھ کو اور دشمنوں سے کام نہیں

کم ہے کب روز ہجر سے شب غم

صبح اس کی تو اس کی شام نہیں

غیر ہی فیضیاب رہتا ہے

مہربانی تمہاری عام نہیں

ایک چپ سی لگی ہے نشترؔ کو

جب سے وہ شوخ ہم کلام نہیں

نشتر چھپروی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Unki Baaton Ko Kuchh Qiyam Nahin

Nashtar Chaprawi

un ki baaton ko kuchh qiyam nahin
subh kahte hain han to sham nahin

zikr-e-dushman pe kyon bigaDte ho
mehrban aap ka to nam nahin

mujh ko kambaKHt kyon kaho har dam
meri jaan ye to mera nam nahin

barhaman hum hue musalman se
ab bhi kafir tu hoga ram nahin

dar pe hai pasban mere liye
ghair jae to rok tham nahin

ghair par KHum ke KHum lunDhate ho
mere hisse ka koi jam nahin

mast ho kar wo shaiKH ka kahna
muft ki ho to mai haram nahin

jab kaha tum adu pe marte ho
bole is mein koi kalam nahin

ghair kyon ja rahe hain maqtal ko
imtihan mera qatl-e-am nahin

bas tumhaara ghulam ho ke rahun
chahiye mujh ko aur nam nahin

mast rakhti hai chashm-e-mast us ki
mujh ko ab aarzu-e-jam nahin

hans paDe zikr-e-wasl-e-dushman par
ya'ni mera KHayal-e-KHam nahin

eid ka din hai pi bhi le ek jam
ab to zahid mah-e-siyam nahin

teri ayyariyan samajhta hun
tujh ko aur dushmanon se kaam nahin

kam hai kab roz-e-hijr se shab-e-gham
subh is ki to us ki sham nahin

ghair hi faizyab rahta hai
mehrbani tumhaari aam nahin

ek chup si lagi hai 'nashtar' ko
jab se wo shoKH ham-kalam nahin

(300) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Unki Baaton Ko Kuchh Qiyam Nahin written by Nashtar Chaprawi at UrduPoint. Unki Baaton Ko Kuchh Qiyam Nahin is one of the masterpieces written by Nashtar Chaprawi. You can also find the complete poetry collection of Nashtar Chaprawi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nashtar Chaprawi' above.

Unki Baaton Ko Kuchh Qiyam Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Unki Baaton Ko Kuchh Qiyam Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.