Ainak Ki Qabr, Urdu Nazam By Nastaran Ahsan Fatihi

Ainak Ki Qabr is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Nastaran Ahsan Fatihi. Ainak Ki Qabr comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Ainak Ki Qabr on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عینک کی قبر

نسترن احسن فتیحی

اپنی بینائی کھوتی آنکھوں سے

کمرے میں بکھری پرچھائیں کو

دیکھ کر میں نے کہا

میں تنہا نہیں ہوں

اپنی ہمجولی عینک کے ساتھ

سیر کرتی ہوں

دور دراز علاقوں تک

گھوم آتی ہوں

تاریخ کے تہہ خانوں میں

اور

فلسفی کے ذہنوں

کے راز

جان لیتی ہوں

کبھی شرما کر سمٹ جاتی ہیں

یادوں کی پرچھائیاں

تب میں ڈھونڈتی ہوں

ہمجولی عینک کو

جو ستاتی ہے بار بار

اوٹ میں ہو کر

ملتی نہیں

ڈھونڈے سے بھی

میں گھبرا جاتی ہوں

اپنے ادھورے پن سے

وہ پھر مسکرا کر جھانکتی ہے

تکیے کی اوٹ سے

مگر آج یہ حادثہ ہوا

جب کھو دیا اسے

تو وہ مل نہ سکی

میں بھٹکتی رہی

دھندلی آنکھوں سے

سارے گھر میں

برتنوں کی الماریوں

اور کپڑوں کی درازوں میں

دھوپ چھاؤں اور بستروں میں

کہیں بھی نہیں تھی وہ

بے چاری سی تھک کر بیٹھ گئی میں

حروف کے لئے ترستی ہوئی

میری نظریں مجبور محض

اس کے بغیر

دیکھ نہ پائیں

میری عینک کی قبر

اور وہ کتابوں کی دبیز تہوں میں دفن

ہوتی گئی

نسترن احسن فتیحی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ainak Ki Qabr

Nastaran Ahsan Fatihi

apni binai khoti aankhon se
kamre mein bikhri parchhain ko
dekh kar main ne kaha
main tanha nahin hun
apni ham-joli ainak ke sath
sair karti hun
dur-daraaz ilaqon tak
ghum aati hun
tariKH ke tah-KHanon mein
aur
falsafi ke zehnon
ke raaz
jaan leti hun
kabhi sharma kar simaT jati hain
yaadon ki parchhaiyan
tab main DhunDti hun
ham-joli ainak ko
jo satati hai bar-bar
oT mein ho kar
milti nahin
DhunDe se bhi
main ghabra jati hun
apne adhure-pan se
wo phir muskura kar jhankti hai
takiye ki oT se
magar aaj ye hadisa hua
jab kho diya use
to wo mil na saki
main bhaTakti rahi
dhundli aankhon se
sare ghar mein
bartanon ki almariyon
aur kapDon ki daraazon mein
dhup chhanw aur bistaraon mein
kahin bhi nahin thi wo
be-chaari si thak kar baiTh gai main
huruf ke liye tarasti hui
meri nazren majbur-e-mahz
us ke baghair
dekh na pain
meri ainak ki qabr
aur wo kitabon ki dabiz tahon mein dafn
hoti gai

(429) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ainak Ki Qabr written by Nastaran Ahsan Fatihi at UrduPoint. Ainak Ki Qabr is one of the masterpieces written by Nastaran Ahsan Fatihi. You can also find the complete poetry collection of Nastaran Ahsan Fatihi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nastaran Ahsan Fatihi' above.

Ainak Ki Qabr is a widely read Urdu Nazam. If you like Ainak Ki Qabr, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.