Aa Gai Dil Ki Lagi BaDh Ke Rag-e-jaan Ke Qarib, Urdu Ghazal By Natiq Gulavthi

Aa Gai Dil Ki Lagi BaDh Ke Rag-e-jaan Ke Qarib is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Natiq Gulavthi. Aa Gai Dil Ki Lagi BaDh Ke Rag-e-jaan Ke Qarib comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aa Gai Dil Ki Lagi BaDh Ke Rag-e-jaan Ke Qarib on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آ گئی دل کی لگی بڑھ کے رگ جاں کے قریب

ناطق گلاوٹھی

آ گئی دل کی لگی بڑھ کے رگ جاں کے قریب

قافلہ شوق کا ہے منزل ارماں کے قریب

آدمیت نہیں پھٹکی ترے درباں کے قریب

ورنہ آتا تو ہے انسان ہی انساں کے قریب

وضع پابندی و آزادیٔ ہستی توبہ

یعنی زنداں سے کہیں دور نہ زنداں کے قریب

جرأت افزائے سوال اے زہے انداز جواب

آتی جاتی ہے اب اس بت کی نہیں ہاں کے قریب

ہے تو کچھ حشر کی آمد کا ہمیں بھی کھٹکا

اس کے آثار تو ہیں گنج شہیداں کے قریب

مجھ کو معلوم ہوا اب کہ زمانہ تم ہو

مل گئی راہ سکوں گردش دوراں کے قریب

غم و اندوہ کا لشکر بھی چلا آتا ہے

ایک گھوڑ دوڑ سی ہے عمر گریزاں کے قریب

گریۂ غم کو ہے پلکوں کا اشارہ درکار

ایک امڈا ہوا طوفان ہے مژگاں کے قریب

جان کس کس کو سنبھالے کہ سب اجزائے وجود

ہیں پریشانیٔ خاطر سے پریشاں کے قریب

پاؤں دامن سے الجھتے ہیں خدا خیر کرے

ہاتھ رہتے ہیں کئی دن سے گریباں کے قریب

بھول جا خود کو کہ ہے معرفت نفس یہی

کوئی رہتا ہی نہیں سرحد عرفاں کے قریب

کثرت خار رہ شوق الٰہی توبہ

کہیں پہنچے تو نہیں روضۂ رضواں کے قریب

مرحبا بندگی آموز تصور تیرا

جس کے احسان سے پہونچا ہوں میں احساں کے قریب

طور کی چھیڑ ہوئی ہوش ربا ورنہ کلیم

کوئی پہونچا بھی تو تھا شعلۂ عریاں کے قریب

قدر افزائی ماحول وطن کیا کہنا

دام یوسف کے بہت آ گئے کنعاں کے قریب

اب تو ناطقؔ کا بس اتنا ہی پتا چلتا ہے

ہے کہیں گھر سے بہت دور بیاباں کے قریب

ناطق گلاوٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aa Gai Dil Ki Lagi BaDh Ke Rag-e-jaan Ke Qarib

Natiq Gulavthi

aa gai dil ki lagi baDh ke rag-e-jaan ke qarib
qafila shauq ka hai manzil-e-arman ke qarib

aadamiyyat nahin phaTki tere darban ke qarib
warna aata to hai insan hi insan ke qarib

waz-e-pabandi o aazadi-e-hasti tauba
yani zindan se kahin dur na zindan ke qarib

jurat-e-afza-e-sawal ai zahe andaz-e-jawab
aati jati hai ab us but ki nahin han ke qarib

hai to kuchh hashr ki aamad ka hamein bhi khaTka
is ke aasar to hain ganj-e-shahidan ke qarib

mujh ko malum hua ab ki zamana tum ho
mil gai rah-e-sukun gardish-e-dauran ke qarib

gham-o-andoh ka lashkar bhi chala aata hai
ek ghoD-dauD si hai umr-e-gurezan ke qarib

girya-e-gham ko hai palkon ka ishaara darkar
ek umDa hua tufan hai mizhgan ke qarib

jaan kis kis ko sambhaale ki sab ajza-e-wajud
hain pareshani-e-KHatir se pareshan ke qarib

panw daman se ulajhte hain KHuda KHair kare
hath rahte hain kai din se gareban ke qarib

bhul ja KHud ko ki hai marifat-e-nafs yahi
koi rahta hi nahin sarhad-e-irfan ke qarib

kasrat-e-KHar rah-e-shauq ilahi tauba
kahin pahunche to nahin rauza-e-rizwan ke qarib

marhaba bandagi-amoz tasawwur tera
jis ke ehsan se pahuncha hun main ehsan ke qarib

tur ki chheD hui hosh-ruba warna kalim
koi pahuncha bhi to tha shoala-e-uryan ke qarib

qadr-afzai-e-mahaul-e-watan kya kahna
dam yusuf ke bahut aa gae kanan ke qarib

ab to 'natiq' ka bas itna hi pata chalta hai
hai kahin ghar se bahut dur bayaban ke qarib

(550) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aa Gai Dil Ki Lagi BaDh Ke Rag-e-jaan Ke Qarib written by Natiq Gulavthi at UrduPoint. Aa Gai Dil Ki Lagi BaDh Ke Rag-e-jaan Ke Qarib is one of the masterpieces written by Natiq Gulavthi. You can also find the complete poetry collection of Natiq Gulavthi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Natiq Gulavthi' above.

Aa Gai Dil Ki Lagi BaDh Ke Rag-e-jaan Ke Qarib is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aa Gai Dil Ki Lagi BaDh Ke Rag-e-jaan Ke Qarib, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.