Is Waqt Ghazal Ki Baat Na Kar, Urdu Nazam By Nazeer Banarasi

Is Waqt Ghazal Ki Baat Na Kar is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Nazeer Banarasi. Is Waqt Ghazal Ki Baat Na Kar comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Is Waqt Ghazal Ki Baat Na Kar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اس وقت غزل کی بات نہ کر

نذیر بنارسی

سنتان ہنسے تو کیسے ہنسے

اس وقت ہے ماتا خطرے میں

سنسار کے پربت کا راجہ

ہے اپنا ہمالہ خطرے میں

ہے سامنا کتنے خطروں کا

ہے دیش کی سیما خطرے میں

اے دوست وطن سے گھات نہ کر

اس وقت غزل کی بات نہ کر

مہندی ہوئی پیلی کتنوں کی

سندور لٹے ہیں کتنوں کے

ہیں چوڑیاں ٹھنڈی کتنوں کی

ارمان جلے ہیں کتنوں کے

اس چین کے ظالم ہاتھوں سے

سنسار پھنکے ہیں کتنوں کے

مسکان کی تو برسات نہ کر

اس وقت غزل کی بات نہ کر

مت کاٹ کپٹ کر ماتا سے

دینا ہے جو کچھ ایمان سے دے

یہ پرشن وطن کی لاج کا ہے

جی کھول کے دے جی جان سے دے

گورو کی حفاظت کر اپنے

دے دھن بھی تو پیارے آن سے دے

تو دان نہ دے خیرات نہ کر

اس وقت غزل کی بات نہ کر

جس گھر میں برستا تھا جیون

چھائی ہے وہاں پر ویرانی

بیوہ ہوئیں کتنی سندریاں

مارے گئے کتنے سینانی

کیوں جوش نہیں آتا تجھ کو

ہے خون رگوں میں یا پانی

آزادی کے دن کو رات نہ کر

اس وقت غزل کی بات نہ کر

سنتے ہیں مصیبت آئے گی

آئے گی تو دیکھا جائے گا

جس نے ہمیں کائر سمجھا ہے

اس دیش سے سمجھا جائے گا

ہر شوخ ادا سے کھیل چکے

اب خون سے کھیلا جائے گا

ایسے میں ہمیں بے ہات نہ کر

اس وقت غزل کی بات نہ کر

اب بینڈ پہ گایا جائے گا

یہ ساز نہ چھیڑے جائیں گے

لے رکھ دے ٹھکانے سے یہ غزل

مرنے سے بچے تو گائیں گے

ہے ساتھ ہمارے سچائی

ہم پا کے وجے مسکائیں گے

جیتی ہوئی بازی مات نہ کر

اس وقت غزل کی بات نہ کر

نذیر بنارسی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Is Waqt Ghazal Ki Baat Na Kar

Nazeer Banarasi

santan hanse to kaise hanse
is waqt hai mata KHatre mein
sansar ke parbat ka raja
hai apna himala KHatre mein
hai samna kitne KHatron ka
hai desh ki sima KHatre mein
ai dost watan se ghat na kar
is waqt ghazal ki baat na kar

mehndi hui pili kitnon ki
sindur luTe hain kitnon ke
hain chuDiyan ThanDi kitnon ki
arman jale hain kitnon ke
is chin ke zalim hathon se
sansar phunke hain kitnon ke
muskan ki tu barsat na kar
is waqt ghazal ki baat na kar

mat kaT kapaT kar mata se
dena hai jo kuchh iman se de
ye parashn watan ki laj ka hai
ji khol ke de ji jaan se de
gauraw ki hifazat kar apne
de dhan bhi to pyare aan se de
tu dan na de KHairaat na kar
is waqt ghazal ki baat na kar

jis ghar mein barasta tha jiwan
chhai hai wahan par virani
bewa huin kitni sundariyan
mare gae kitne senani
kyun josh nahin aata tujh ko
hai KHun ragon mein ya pani
aazadi ke din ko raat na kar
is waqt ghazal ki baat na kar

sunte hain musibat aaegi
aaegi to dekha jaega
jis ne hamein kayer samjha hai
us desh se samjha jaega
har shoKH ada se khel chuke
ab KHun se khela jaega
aise mein hamein be-hat na kar
is waqt ghazal ki baat na kar

ab band pe gaya jaega
ye saz na chheDe jaenge
le rakh de Thikane se ye ghazal
marne se bache to gaenge
hai sath hamare sachchai
hum pa ke wijay muskaenge
jiti hui bazi mat na kar
is waqt ghazal ki baat na kar

(511) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Is Waqt Ghazal Ki Baat Na Kar written by Nazeer Banarasi at UrduPoint. Is Waqt Ghazal Ki Baat Na Kar is one of the masterpieces written by Nazeer Banarasi. You can also find the complete poetry collection of Nazeer Banarasi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nazeer Banarasi' above.

Is Waqt Ghazal Ki Baat Na Kar is a widely read Urdu Nazam. If you like Is Waqt Ghazal Ki Baat Na Kar, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.