Kis Quwwat-e-be-dard Ka Izhaar Hai Duniya, Urdu Ghazal By Nazeer Siddiqui

Kis Quwwat-e-be-dard Ka Izhaar Hai Duniya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nazeer Siddiqui. Kis Quwwat-e-be-dard Ka Izhaar Hai Duniya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kis Quwwat-e-be-dard Ka Izhaar Hai Duniya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کس قوت‌ بے درد کا اظہار ہے دنیا

نظیر صدیقی

کس قوت‌ بے درد کا اظہار ہے دنیا

ہر دل کو گلا ہے کہ دل آزار ہے دنیا

لوگ اس کو کہا کرتے ہیں اچھا بھی برا بھی

کیا خوب کہ دونوں کی سزاوار ہے دنیا

ملتا ہی نہیں کوئی دل زار کا پرساں

میرے لیے اک محفل اغیار ہے دنیا

ہر سنگ میں دنیا کو نظر آتا ہے اک بت

اور ایسے ہر اک بت کی پرستار ہے دنیا

یہ حشر یہ ہنگامہ نہیں آج پہ موقوف

سچ یہ ہے کہ صدیوں ہی سے بیمار ہے دنیا

نیکی کوئی کرتا ہو تو کروٹ نہیں لیتی

نیت ہو گناہوں کی تو بیدار ہے دنیا

کس طرح کریں اس کی محبت پہ بھروسا

اے دوست قیامت کی اداکار ہے دنیا

اس طرح بھی دنیا کا گلا کرتے ہیں گویا

معصوم ہے انسان گنہ گار ہے دنیا

دنیا میں برا وقت تو آتا ہے سبھی پر

اب خود ہی برے وقت سے دو چار ہے دنیا

رہ رہ کے برستی ہیں عداوت کی گھٹائیں

لگتا ہے کہ گرتی ہوئی دیوار ہے دنیا

کیا کہئے اسے کچھ بھی سمجھ میں نہیں آتا

اک وادیٔ پر خار کہ گلزار ہے دنیا

جنت بھی اسی میں ہے جہنم بھی اسی میں

گہوارۂ‌ ہر عشرت و آزار ہے دنیا

ڈوبے ہوئے تاروں کا یہ ماتم نہیں کرتی

چڑھتے ہوئے سورج کی پرستار ہے دنیا

نظیر صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kis Quwwat-e-be-dard Ka Izhaar Hai Duniya

Nazeer Siddiqui

kis quwwat-e-be-dard ka izhaar hai duniya
har dil ko gila hai ki dil-azar hai duniya

log is ko kaha karte hain achchha bhi bura bhi
kya KHub ki donon ki saza-war hai duniya

milta hi nahin koi dil-e-zar ka pursan
mere liye ek mahfil-e-aghyar hai duniya

har sang mein duniya ko nazar aata hai ek but
aur aise har ek but ki parastar hai duniya

ye hashr ye hangama nahin aaj pe mauquf
sach ye hai ki sadiyon hi se bimar hai duniya

neki koi karta ho to karwaT nahin leti
niyyat ho gunahon ki to bedar hai duniya

kis tarah karen us ki mohabbat pe bharosa
ai dost qayamat ki adakar hai duniya

is tarah bhi duniya ka gila karte hain goya
masum hai insan gunahgar hai duniya

duniya mein bura waqt to aata hai sabhi par
ab KHud hi bure waqt se do-chaar hai duniya

rah rah ke barasti hain adawat ki ghaTaen
lagta hai ki girti hui diwar hai duniya

kya kahiye use kuchh bhi samajh mein nahin aata
ek wadi-e-pur-KHar ki gulzar hai duniya

jannat bhi usi mein hai jahannam bhi usi mein
gahwara-e-har-ishrat-o-azar hai duniya

Dube hue taron ka ye matam nahin karti
chaDhte hue suraj ki parastar hai duniya

(617) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kis Quwwat-e-be-dard Ka Izhaar Hai Duniya written by Nazeer Siddiqui at UrduPoint. Kis Quwwat-e-be-dard Ka Izhaar Hai Duniya is one of the masterpieces written by Nazeer Siddiqui. You can also find the complete poetry collection of Nazeer Siddiqui by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nazeer Siddiqui' above.

Kis Quwwat-e-be-dard Ka Izhaar Hai Duniya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kis Quwwat-e-be-dard Ka Izhaar Hai Duniya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.