KHud-farebi Ne Be-shak Sahaara Diya Aur Tabiat Ba-zahir Bahalti Rahi, Urdu Ghazal By Nazeer Siddiqui

KHud-farebi Ne Be-shak Sahaara Diya Aur Tabiat Ba-zahir Bahalti Rahi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nazeer Siddiqui. KHud-farebi Ne Be-shak Sahaara Diya Aur Tabiat Ba-zahir Bahalti Rahi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHud-farebi Ne Be-shak Sahaara Diya Aur Tabiat Ba-zahir Bahalti Rahi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خود فریبی نے بے شک سہارا دیا اور طبیعت بظاہر بہلتی رہی

نظیر صدیقی

خود فریبی نے بے شک سہارا دیا اور طبیعت بظاہر بہلتی رہی

ایک کانٹا سا دل میں کھٹکتا رہا ایک حسرت سی دل کو مسلتی رہی

اپنے غم کو ہمیشہ بھلایا کئے کثرت کار میں سیر بازار میں

الغرض کسمپرسی کے عالم میں بھی زندہ رہنے کی صورت نکلتی رہی

عقل کی برتری دل نے مانی تو کیا اس نے چاہا کبھی عقل کا مشورہ

دل کو جس طرح چلنا تھا چلتا رہا عقل ہر گام پر ہاتھ ملتی رہی

بزم ہستی میں آنے کو آئے سبھی اہل دل اہل دیں شاعر و فلسفی

آدمی کو جو کرنا تھا کرتا رہا اور دنیا بدستور چلتی رہی

اس کی صورت جو چاہو بدل جائے گی جیسے سانچے میں دھالو گے ڈھل جائے گی

کوئی سانچہ یہاں حرف آخر نہیں زندگی تو ہمیشہ بدلتی رہی

آدمی ساتھ رہنے پہ مجبور ہے پھر بھی اک دوسرے سے بہت دور ہے

دشمنوں سے تو ہوتی بھلا صلح کیا جبکہ خود دوستوں سے بھی چلتی رہی

نظیر صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHud-farebi Ne Be-shak Sahaara Diya Aur Tabiat Ba-zahir Bahalti Rahi

Nazeer Siddiqui

KHud-farebi ne be-shak sahaara diya aur tabiat ba-zahir bahalti rahi
ek kanTa sa dil mein khaTakta raha ek hasrat si dil ko masalti rahi

apne gham ko hamesha bhulaya kiye kasrat-e-kar mein sair-e-bazar mein
al-gharaz kasmapursi ke aalam mein bhi zinda rahne ki surat nikalti rahi

aql ki bartari dil ne mani to kya us ne chaha kabhi aql ka mashwara
dil ko jis tarah chalna tha chalta raha aql har gam par hath malti rahi

bazm-e-hasti mein aane ko aae sabhi ahl-e-dil ahl-e-din shair-o-falsafi
aadmi ko jo karna tha karta raha aur duniya ba-dastur chalti rahi

is ki surat jo chaho badal jaegi jaise sanche mein Dhaaloge Dhal jaegi
koi sancha yahan harf-e-aKHir nahin zindagi to hamesha badalti rahi

aadmi sath rahne pe majbur hai phir bhi ek dusre se bahut dur hai
dushmanon se to hoti bhala sulh kya jabki KHud doston se bhi chalti rahi

(622) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHud-farebi Ne Be-shak Sahaara Diya Aur Tabiat Ba-zahir Bahalti Rahi written by Nazeer Siddiqui at UrduPoint. KHud-farebi Ne Be-shak Sahaara Diya Aur Tabiat Ba-zahir Bahalti Rahi is one of the masterpieces written by Nazeer Siddiqui. You can also find the complete poetry collection of Nazeer Siddiqui by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nazeer Siddiqui' above.

KHud-farebi Ne Be-shak Sahaara Diya Aur Tabiat Ba-zahir Bahalti Rahi is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHud-farebi Ne Be-shak Sahaara Diya Aur Tabiat Ba-zahir Bahalti Rahi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.