Hansi Mein Wo Baat Maine Kah Di Ki Rah Gae Aap Dang Ho Kar, Urdu Ghazal By Nazm Tabatabai

Hansi Mein Wo Baat Maine Kah Di Ki Rah Gae Aap Dang Ho Kar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nazm Tabatabai. Hansi Mein Wo Baat Maine Kah Di Ki Rah Gae Aap Dang Ho Kar comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hansi Mein Wo Baat Maine Kah Di Ki Rah Gae Aap Dang Ho Kar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہنسی میں وہ بات میں نے کہہ دی کہ رہ گئے آپ دنگ ہو کر

نظم طبا طبائی

ہنسی میں وہ بات میں نے کہہ دی کہ رہ گئے آپ دنگ ہو کر

چھپا ہوا تھا جو راز دل میں کھلا وہ چہرہ کا رنگ ہو کر

ہمیشہ کوچ و مقام اپنا رہا ہے خضر رہ طریقت

رکا تو میں سنگ میل بن کر چلا تو آواز چنگ ہو کر

نہ توڑتے آرسی اگر تم تو اتنے یوسف نظر نہ آتے

یہ قافلہ کھینچ لائی سارا شکست آئینہ زنگ ہو کر

شباب و پیری کا آنا جانا غضب کا پر درد ہے فسانہ

یہ رہ گئی بن کے گرد حسرت وہ اڑ گیا رخ سے رنگ ہو کر

جو راز دل سے زباں تک آیا تو اس کو قابو میں پھر نہ پایا

زباں سے نکلا کلام بن کر کماں سے چھوٹا خدنگ ہو کر

غضب ہے بحر فنا کا دھارا کہ مجھ کو الجھا کے مارا مارا

نفس نے موجوں کا جال بن کر لحد نے کام نہنگ ہو کر

ملا دل نا حفاظ مجھ کو تو کیا کسی کا لحاظ مجھ کو

کہیں گریباں نہ پھاڑ ڈالیں جناب ناصح بھی تنگ ہو کر

جو اب کی مینائے مے کو توڑا چلے گی تلوار محتسب سے

لہو بھی رندوں کا دیکھ لینا بہا مئے لالہ رنگ ہو کر

نہ ضبط سے شکوہ لب تک آیا نہ صبر نے آہ کھینچنے دی

رہا دہن میں وہ قفل بن کر گرایا چھاتی پہ سنگ ہو کر

سمجھ لے صوفی اگر یہ نکتہ ہے ایک بزم سماع ہستی

تو نو پیالے یہ آسماں کے بجیں ابھی جل ترنگ ہو کر

بھلا ہو افسردہ خاطری کا کہ حسرتوں کو دبا کے رکھا

بچا لیا ہرزگی سے اس نے لحاظ ناموس و ننگ ہو کر

جگر خراشی سے پائی فرصت نہ سینہ کاوی سے ناخنوں نے

گلا گریباں نے گھونٹ ڈالا جنوں کی شورش سے تنگ ہو کر

بدل کے دنیا نے بھیس صدہا اسے ڈرایا اسے لبھایا

کبھی زن پیر زال بن کر کبھی بت شوخ و شنگ ہو کر

اٹھے تھے تلوار کھینچ کر تم تو پھر تأمل نہ چاہئے تھا

کہ رہ گئی میرے دل کی حسرت شہید تیغ درنگ ہو کر

جو ولولے تھے وہ دب گئے سب ہجوم لیت و لعل میں حیدرؔ

جو حوصلے تھے وہ دل ہی دل میں رہے دریغ و درنگ ہو کر

نظم طبا طبائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hansi Mein Wo Baat Maine Kah Di Ki Rah Gae Aap Dang Ho Kar

Nazm Tabatabai

hansi mein wo baat main ne kah di ki rah gae aap dang ho kar
chhupa hua tha jo raaz dil mein khula wo chehre ka rang ho kar

hamesha kuch o maqam apna raha hai KHizr-e-rah-e-tariqat
ruka to main sang-e-mil ban kar chala to aawaz-e-chang ho kar

na toDte aarsi agar tum to itne yusuf nazar na aate
ye qafila khinch lai sara shikast-e-aina zang ho kar

shabab o piri ka aana jaana ghazab ka pur-dard hai fasana
ye rah gai ban ke gard-e-hasrat wo uD gaya ruKH se rang ho kar

jo raaz dil se zaban tak aaya to us ko qabu mein phir na paya
zaban se nikla kalam ban kar kaman se chhuTa KHadang ho kar

ghazab hai bahr-e-fana ka dhaara ki mujh ko uljha ke mara mara
nafas ne maujon ka jal bun kar lahad ne kaam-e-nahang ho kar

mila dil-e-na-hifaz mujh ko to kya kisi ka lihaz mujh ko
kahin gareban na phaD Dalen janab-e-naseh bhi tang ho kar

jo ab ki mina-e-mai ko toDa chalegi talwar mohtasib se
lahu bhi rindon ka dekh lena baha mai-e-lala-rang ho kar

na zabt se shikwa lab tak aaya na sabr ne aah khinchne di
raha dahan mein wo qufl ban kar giraya chhati pe sang ho kar

samajh le sufi agar ye nukta hai ek bazm-e-sama-e-hasti
to nau-piyale ye aasman ke bajen abhi jal-tarang ho kar

bhala ho afsurda-KHatiri ka ki hasraton ko daba ke rakkha
bacha liya harzagi se us ne lihaz-e-namus-o-nang ho kar

jigar-KHarashi se pai fursat na sina-kawi se naKHunon ne
gala gareban ne ghunT Dala junun ki shorish se tang ho kar

badal ke duniya ne bhes sadha ise Daraya use lubhaya
kabhi zan-e-pir-zal ban kar kabhi but-e-shoKH-o-shang ho kar

uThe the talwar khinch kar tum to phir tammul na chahiye tha
ki rah gai mere dil ki hasrat shahid-e-tegh-e-darang ho kar

jo walwale the wo dab gae sab hujum-e-lait-o-lal mein 'haidar'
jo hausle the wo dil hi dil mein rahe daregh-o-darang ho kar

(523) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hansi Mein Wo Baat Maine Kah Di Ki Rah Gae Aap Dang Ho Kar written by Nazm Tabatabai at UrduPoint. Hansi Mein Wo Baat Maine Kah Di Ki Rah Gae Aap Dang Ho Kar is one of the masterpieces written by Nazm Tabatabai. You can also find the complete poetry collection of Nazm Tabatabai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nazm Tabatabai' above.

Hansi Mein Wo Baat Maine Kah Di Ki Rah Gae Aap Dang Ho Kar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hansi Mein Wo Baat Maine Kah Di Ki Rah Gae Aap Dang Ho Kar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.