Junun Ke Walwale Jab GhuT Gae Dil Mein Nihan Ho Kar, Urdu Ghazal By Nazm Tabatabai

Junun Ke Walwale Jab GhuT Gae Dil Mein Nihan Ho Kar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nazm Tabatabai. Junun Ke Walwale Jab GhuT Gae Dil Mein Nihan Ho Kar comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Junun Ke Walwale Jab GhuT Gae Dil Mein Nihan Ho Kar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جنوں کے ولولے جب گھٹ گئے دل میں نہاں ہو کر

نظم طبا طبائی

جنوں کے ولولے جب گھٹ گئے دل میں نہاں ہو کر

تو اٹھے ہیں دھواں ہو کر گرے ہیں بجلیاں ہو کر

کچھ آگے بڑھ چلے سامان راحت لا مکاں ہو کر

فلک پیچھے رہا جاتا ہے گرد کارواں ہو کر

کسی دن تو چلے اے آسماں باد مراد ایسی

کہ اتریں کشتئ مے پر گھٹائیں بادباں ہو کر

نہ جانے کس بیاباں مرگ نے مٹی نہیں پائی

بگولے جا رہے ہیں کارواں در کارواں ہو کر

وفور ضبط سے بیتابیٔ دل بڑھ نہیں سکتی

گلے تک آ کے رہ جاتے ہیں نالے ہچکیاں ہو کر

گلو گیر اب تو ایسا انقلاب رنگ عالم ہے

کہ نغمے نکلے منقار عنادل سے فغاں ہو کر

جو ہو کر ابر سے مایوس خود سینچے کبھی دہقاں

جلا دیں کھیت کو پانی کی لہریں بجلیاں ہو کر

جہاں میں واشد خاطر کے ساماں ہو گئے لاشے

جگہ راحت کی نا ممکن ہوئی ہے لا مکاں ہو کر

ہنسے کوئی نہ بجلی کے سوا اس دار ماتم میں

اگر رہ جائے سارا کھیت کشت زعفراں ہو کر

الم میں آشیاں کے اس قدر تنکے چنے میں نے

کہ آخر باعث تسکیں ہوے ہیں آشیاں ہو کر

گھٹائیں گھر کے کیا کیا حسرت فرہاد پر روئیں

چمن تک آ گئیں نہریں پہاڑوں سے رواں ہو کر

دل شیدا نے پایا عشق میں معراج کا رتبہ

یہاں اکثر بتوں کے ظلم ٹوٹے آسماں ہو کر

جو ڈرتے ڈرتے دل سے ایک حرف شوق نکلا تھا

وہ اس کے سامنے آیا زباں پر داستاں ہو کر

نکل آئے ہیں ہر اقرار میں انکار کے پہلو

بنا دیتی ہیں حیراں تیری باتیں مکر یاں ہو کر

نزاکت کا یہ عالم پھول بھی توڑے تو بل کھا کر

نہ جانے دل مرا کس طرح توڑا پہلواں ہو کر

تدرو و کبک پر ہنس کر اٹھے خود لڑکھڑاتے ہیں

سبک کرتے ہیں ان کو پائنچے بار گراں ہو کر

گلا گھونٹا ہے ضبط غم نے کچھ ایسا کہ مشکل ہے

کہ نکلے منہ سے آواز شکست دل فغاں ہو کر

پتہ اندیشۂ سالک نے پایا منزل دل کا

تو پلٹا لا مکاں سے آسماں در آسماں ہو کر

ہوئی پھر دیکھیے آ بستن شادی و غم دنیا

ابھی پیدا ہوئے تھے رنج و راحت تو اماں ہو کر

جو نکلی ہوگی کوئی آرزو تو یہ بھی نکلے گا

تمہارا تیر حسرت بن گیا دل میں نہاں ہو کر

اتر جائے گا تو او آفتاب حسن کوٹھے سے

گرے گا سایۂ دیوار ہم پر آسماں ہو کر

نظم طبا طبائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Junun Ke Walwale Jab GhuT Gae Dil Mein Nihan Ho Kar

Nazm Tabatabai

junun ke walwale jab ghuT gae dil mein nihan ho kar
to uTThe hain dhuan ho kar gire hain bijliyan ho kar

kuchh aage baDh chale saman-e-rahat la-makan ho kar
falak pichhe raha jata hai gard-e-karwan ho kar

kisi din to chale ai aasman baad-e-murad aisi
ki utren kashti-e-mai par ghaTaen baadban ho kar

na jaane kis bayaban marg ne miTTi nahin pai
bagule ja rahe hain karwan-dar-karwan ho kar

wafur-e-zabt se betabi-e-dil baDh nahin sakti
gale tak aa ke rah jate hain nale hichkiyan ho kar

gulu-gir ab to aisa inqalab-e-rang-e-alam hai
ki naghme nikle minqar-e-anadil se fughan ho kar

jo ho kar abr se mayus KHud sinche kabhi dahqan
jala den khet ko pani ki lahren bijliyan ho kar

jahan mein washud-e-KHatir ke saman ho gae lashe
jagah rahat ki na-mumkin hui hai la-makan ho kar

hanse koi na bijli ke siwa is dar-e-matam mein
agar rah jae sara khet kisht-e-zafaran ho kar

alam mein aashiyan ke is qadar tinke chune main ne
ki aaKHir bais-e-taskin hue hain aashiyan ho kar

ghaTaen ghir ke kya kya hasrat-e-farhad par roin
chaman tak aa gain nahren pahaDon se rawan ho kar

dil-e-shaida ne paya ishq mein mearaj ka rutba
yahan akasr buton ke zulm TuTe aasman ho kar

jo Darte Darte dil se ek harf-e-shauq nikla tha
wo us ke samne aaya zaban par dastan ho kar

nikal aae hain har iqrar mein inkar ke pahlu
bana deti hain hairan teri baaten makr yan ho kar

nazakat ka ye aalam phul bhi toDe to bal kha kar
na jaane dil mera kis tarah toDa pahlwan ho kar

tadarrau-o-kabak par hans kar uTThe KHud laDkhaDate hain
subuk karte hain un ko paenche bar-e-giran ho kar

gala ghonTa hai zabt-e-gham ne kuchh aisa ki mushkil hai
ki nikle munh se aawaz-e-shikast-e-dil fughan ho kar

pata andesha-e-salik ne paya manzil-e-dil ka
tu palTa la-makan se aasman-dar-asman ho kar

hui phir dekhiye aa bustan-e-shadi-o-gham duniya
abhi paida hue the ranj-o-rahat to aman ho kar

jo nikli hogi koi aarzu to ye bhi niklega
tumhaara tir-e-hasrat ban gaya dil mein nihan ho kar

utar jaega tu o aaftab-e-husn koThe se
girega saya-e-diwar hum par aasman ho kar

(568) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Junun Ke Walwale Jab GhuT Gae Dil Mein Nihan Ho Kar written by Nazm Tabatabai at UrduPoint. Junun Ke Walwale Jab GhuT Gae Dil Mein Nihan Ho Kar is one of the masterpieces written by Nazm Tabatabai. You can also find the complete poetry collection of Nazm Tabatabai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nazm Tabatabai' above.

Junun Ke Walwale Jab GhuT Gae Dil Mein Nihan Ho Kar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Junun Ke Walwale Jab GhuT Gae Dil Mein Nihan Ho Kar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.