Nahin Hai Are Ye Baghawat Nahin Hai, Urdu Ghazal By Neeraj Goswami

Nahin Hai Are Ye Baghawat Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Neeraj Goswami. Nahin Hai Are Ye Baghawat Nahin Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Nahin Hai Are Ye Baghawat Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہیں ہے ارے یہ بغاوت نہیں ہے

نیرج گوسوامی

نہیں ہے ارے یہ بغاوت نہیں ہے

ہمیں سر جھکانے کی عادت نہیں ہے

چھپائے ہوئے ہیں وہی لوگ خنجر

جو کہتے کسی سے عداوت نہیں ہے

کروں کیا پروں کا اگر ان سے مجھ کو

فلک ناپنے کی اجازت نہیں ہے

اٹھا کر گرانا گرا کر مٹانا

ہمارے یہاں کی روایت نہیں ہے

ملا کر نگاہیں جھکاتے جو گردن

وہی کہہ رہے ہیں محبت نہیں ہے

بہت کر لی پہلے زمانے سے ہم نے

ہمیں اب کسی سے شکایت نہیں ہے

کہو کیا کرو گے گھٹاؤں کا نیرجؔ

اگر بھیگ جانے کی چاہت نہیں ہے

نیرج گوسوامی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nahin Hai Are Ye Baghawat Nahin Hai

Neeraj Goswami

nahin hai are ye baghawat nahin hai
hamein sar jhukane ki aadat nahin hai

chhupae hue hain wahi log KHanjar
jo kahte kisi se adawat nahin hai

karun kya paron ka agar in se mujh ko
falak napne ki ijazat nahin hai

uTha kar girana gira kar miTana
hamare yahan ki riwayat nahin hai

mila kar nigahen jhukate jo gardan
wahi kah rahe hain mohabbat nahin hai

bahut kar li pahle zamane se hum ne
hamein ab kisi se shikayat nahin hai

kaho kya karoge ghaTaon ka 'niraj'
agar bhig jaane ki chahat nahin hai

(471) ووٹ وصول ہوئے

You can read Nahin Hai Are Ye Baghawat Nahin Hai written by Neeraj Goswami at UrduPoint. Nahin Hai Are Ye Baghawat Nahin Hai is one of the masterpieces written by Neeraj Goswami. You can also find the complete poetry collection of Neeraj Goswami by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Neeraj Goswami' above.

Nahin Hai Are Ye Baghawat Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nahin Hai Are Ye Baghawat Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.