Junun-e-dil Ka Abhi Tarjuman Baqi Hai, Urdu Ghazal By Nigar Azeem

Junun-e-dil Ka Abhi Tarjuman Baqi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nigar Azeem. Junun-e-dil Ka Abhi Tarjuman Baqi Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Junun-e-dil Ka Abhi Tarjuman Baqi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جنون دل کا ابھی ترجمان باقی ہے

نگار عظیم

جنون دل کا ابھی ترجمان باقی ہے

لبوں پہ مہر لگی ہے زبان باقی ہے

گئی رتوں کا ابھی تک نشان باقی ہے

گلی میں ایک شکستہ مکان باقی ہے

نہ پوچھیے ابھی عنواں مرے فسانے کا

یہ ابتدا ہے ابھی داستان باقی ہے

ڈبو دیا تھا کبھی جس کو تند طوفاں نے

اسی سفینے کا اک بادبان باقی ہے

ہزار بار زمانے نے کروٹیں بدلیں

ہمارے سر پہ وہی آسمان باقی ہے

اک آشیانے پہ بجلی گری تو رونا کیا

ہمارے واسطے سارا جہان باقی ہے

نگارؔ خانۂ دل میں بسی ہے ویرانی

مکیں چلا گیا لیکن مکان باقی ہے

نگار عظیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Junun-e-dil Ka Abhi Tarjuman Baqi Hai

Nigar Azeem

junun-e-dil ka abhi tarjuman baqi hai
labon pe mohr lagi hai zaban baqi hai

gai ruton ka abhi tak nishan baqi hai
gali mein ek shikasta makan baqi hai

na pochhiye abhi unwan mere fasane ka
ye ibtida hai abhi dastan baqi hai

Dubo diya tha kabhi jis ko tund tufan ne
usi safine ka ek baadban baqi hai

hazar bar zamane ne karwaTen badlin
hamare sar pe wahi aasman baqi hai

ek aashiyane pe bijli giri to rona kya
hamare waste sara jahan baqi hai

'nigar' KHana-e-dil mein basi hai virani
makin chala gaya lekin makan baqi hai

(592) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Junun-e-dil Ka Abhi Tarjuman Baqi Hai written by Nigar Azeem at UrduPoint. Junun-e-dil Ka Abhi Tarjuman Baqi Hai is one of the masterpieces written by Nigar Azeem. You can also find the complete poetry collection of Nigar Azeem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nigar Azeem' above.

Junun-e-dil Ka Abhi Tarjuman Baqi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Junun-e-dil Ka Abhi Tarjuman Baqi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.