Mera Dard-e-dil Hai Rawan-dawan Mera ZaKHm-e-dil Bhi Gulab Hai, Urdu Ghazal By Nirmal Nadeem

Mera Dard-e-dil Hai Rawan-dawan Mera ZaKHm-e-dil Bhi Gulab Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nirmal Nadeem. Mera Dard-e-dil Hai Rawan-dawan Mera ZaKHm-e-dil Bhi Gulab Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mera Dard-e-dil Hai Rawan-dawan Mera ZaKHm-e-dil Bhi Gulab Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مرا درد دل ہے رواں دواں مرا زخم دل بھی گلاب ہے

نرمل ندیم

مرا درد دل ہے رواں دواں مرا زخم دل بھی گلاب ہے

مری خوشبوؤں سی ہے داستاں یہ جہان میری کتاب ہے

میں قلم کا ایک سپاہی ہوں مری ذہنیت میں ہے شاعری

جہاں فکر کی ہے بلندیاں مرا حرف حرف وہ باب ہے

کبھی میرے دل میں تو دیکھنا کہ جہاں تمام سمٹ گئے

کرے ذکر جس کا ہر اک زباں مرے درد کا وہ شباب ہے

تجھے ساتھ کیسے میں لے چلوں میں سفر پہ ہوں کسی طور کے

ترے ساتھ چلتی ہیں مستیاں تری چال موج چناب ہے

مرے بال و پر میں وہ حوصلہ ہے جو آسماں کو سمیٹ لے

جو مجھے بنائے گا جاوداں مری چشم تر میں وہ خواب ہے

مجھے لے کے چلنا ہے لے کے چل پر اسے بھی لے لے تو ساتھ میں

مجھے کر نہ پائے گا تو بیاں میں سوال ہوں وہ جواب ہے

میں نشے میں تیرے ہی چور ہوں ترے پاس ہو کے بھی دور ہوں

تو مرے وجود میں ہے نہاں ترا غم ہی میری شراب ہے

یہ نجوم و شمس و قمر سبھی میں جو روشنی ہے مجھی سے ہے

مرا قرض دار ہے آسماں مرے زخموں ہی کی وہ تاب ہے

میں نے صرف کر دی ہے زندگی تری منزلوں کی تلاش میں

تجھے ڈھونڈھتا نہ پھرا کہاں مرے عشق کا تو سراب ہے

نرمل ندیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mera Dard-e-dil Hai Rawan-dawan Mera ZaKHm-e-dil Bhi Gulab Hai

Nirmal Nadeem

mera dard-e-dil hai rawan-dawan mera zaKHm-e-dil bhi gulab hai
meri KHushbuon si hai dastan ye jahan meri kitab hai

main qalam ka ek sipahi hun meri zehniyat mein hai shairi
jahan fikr ki hai bulandiyan mera harf harf wo bab hai

kabhi mere dil mein tu dekhna ki jahan tamam simaT gae
kare zikr jis ka har ek zaban mere dard ka wo shabab hai

tujhe sath kaise main le chalun main safar pe hun kisi tur ke
tere sath chalti hain mastiyan teri chaal mauj-e-chanab hai

mere baal-o-par mein wo hausla hai jo aasman ko sameT le
jo mujhe banaega jawedan meri chashm-e-tar mein wo KHwab hai

mujhe le ke chalna hai le ke chal par use bhi le le tu sath mein
mujhe kar na paega tu bayan main sawal hun wo jawab hai

main nashe mein tere hi chur hun tere pas ho ke bhi dur hun
tu mere wajud mein hai nihan tera gham hi meri sharab hai

ye nujum-o-shams-o-qamar sabhi mein jo raushni hai mujhi se hai
mera qarz-dar hai aasman mere zaKHmon hi ki wo tab hai

main ne sarf kar di hai zindagi teri manzilon ki talash mein
tujhe DhunDhta na phira kahan mere ishq ka tu sarab hai

(558) ووٹ وصول ہوئے

You can read Mera Dard-e-dil Hai Rawan-dawan Mera ZaKHm-e-dil Bhi Gulab Hai written by Nirmal Nadeem at UrduPoint. Mera Dard-e-dil Hai Rawan-dawan Mera ZaKHm-e-dil Bhi Gulab Hai is one of the masterpieces written by Nirmal Nadeem. You can also find the complete poetry collection of Nirmal Nadeem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nirmal Nadeem' above.

Mera Dard-e-dil Hai Rawan-dawan Mera ZaKHm-e-dil Bhi Gulab Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mera Dard-e-dil Hai Rawan-dawan Mera ZaKHm-e-dil Bhi Gulab Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.