Israr-o-inkisar Se Wo Man To Gaya, Urdu Ghazal By Noor Ahmad Shaikh

Israr-o-inkisar Se Wo Man To Gaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Noor Ahmad Shaikh. Israr-o-inkisar Se Wo Man To Gaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Israr-o-inkisar Se Wo Man To Gaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اصرار و انکسار سے وہ مان تو گیا

نور احمد شیخ

اصرار و انکسار سے وہ مان تو گیا

لیکن میں اس طرح سے اسے جان تو گیا

کی اس نے گو تلافئ مافات بارہا

لیکن جو اس پہ مان تھا وہ مان تو گیا

یہ بات اور ہے وہ چمک آنکھ میں نہ تھی

اتنا بہت ہے مل کے وہ پہچان تو گیا

اچھا ہوا وہ چشم کرم ہو گئی خفا

سر سے یہ روز روز کا احسان تو گیا

اک نقد جاں ہے اور پس گرد رہ گزار

بیٹھے ہیں پا رکاب کہ سامان تو گیا

پھیلا کے پاؤں بیٹھ فراغ حیات اب

گھر سے ترے یہ روز کا مہمان تو گیا

دنیا ملی کہ دین پر اتنا ضرور ہے

اس کشمکش میں شیخؔ کا ایمان تو گیا

نور احمد شیخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Israr-o-inkisar Se Wo Man To Gaya

Noor Ahmad Shaikh

israr-o-inkisar se wo man to gaya
lekin main is tarah se use jaan to gaya

ki us ne go talafi-e-mafat barha
lekin jo us pe man tha wo man to gaya

ye baat aur hai wo chamak aankh mein na thi
itna bahut hai mil ke wo pahchan to gaya

achchha hua wo chashm-e-karam ho gai KHafa
sar se ye roz roz ka ehsan to gaya

ek naqd-e-jaan hai aur pas-e-gard-e-rahguzar
baiThe hain pa-rikab ki saman to gaya

phaila ke panw baiTh faragh-e-hayat ab
ghar se tere ye roz ka mehman to gaya

duniya mili ki din par itna zarur hai
is kashmakash mein 'shaiKH' ka iman to gaya

(474) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Israr-o-inkisar Se Wo Man To Gaya written by Noor Ahmad Shaikh at UrduPoint. Israr-o-inkisar Se Wo Man To Gaya is one of the masterpieces written by Noor Ahmad Shaikh. You can also find the complete poetry collection of Noor Ahmad Shaikh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Noor Ahmad Shaikh' above.

Israr-o-inkisar Se Wo Man To Gaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Israr-o-inkisar Se Wo Man To Gaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.