Gul-e-KHulus Ki Tarsil Mein Kami Nahin Ki, Urdu Ghazal By Noorul Hasan Noor

Gul-e-KHulus Ki Tarsil Mein Kami Nahin Ki is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Noorul Hasan Noor. Gul-e-KHulus Ki Tarsil Mein Kami Nahin Ki comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gul-e-KHulus Ki Tarsil Mein Kami Nahin Ki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گل خلوص کی ترسیل میں کمی نہیں کی

نور الحسن نور

گل خلوص کی ترسیل میں کمی نہیں کی

خدا گواہ کہ تائید بے رخی نہیں کی

نگاہ بد نہ تری آئی یاد کو لگ جائے

اسی خیال سے کمرے میں روشنی نہیں کی

تری گلی سے بھی خود کو حسیں سمجھتے تھے

سو میں نے ایسے نظاروں سے بات ہی نہیں کی

اچٹتی ایک نظر تیری پڑ گئی جب سے

کسی سے ہم نے زمانے میں دوستی نہیں کی

خرد کی مسند عظمیٰ بچھاؤ اس کے لیے

میان دشت جنوں جس نے زندگی نہیں کی

یہ کیسا زعم تھا کن عالموں میں رہتا تھا

دیے نے کس لیے بیعت چراغ کی نہیں کی

تمہیں بتاؤ ملاقات سے ہے کیا حاصل

جو بات کرنی تھی اس سے اگر وہی نہیں کی

ہماری پیاس کے صحرا میں بود و باش تو ہے

مگر شکایت تشنہ لبی کبھی نہیں کی

خزانہ علم و ہنر کا لٹا رہا ہے وہ نورؔ

برائے ناموری اس نے شاعری نہیں کی

نور الحسن نور

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gul-e-KHulus Ki Tarsil Mein Kami Nahin Ki

Noorul Hasan Noor

gul-e-KHulus ki tarsil mein kami nahin ki
KHuda-gawah ki taid-e-be-ruKHi nahin ki

nigah-e-bad na teri aai yaad ko lag jae
isi KHayal se kamre mein raushni nahin ki

teri gali se bhi KHud ko hasin samajhte the
so main ne aise nazaron se baat hi nahin ki

uchaTti ek nazar teri paD gai jab se
kisi se hum ne zamane mein dosti nahin ki

KHirad ki masnad-e-uzma bichhao us ke liye
miyan-e-dasht-e-junun jis ne zindagi nahin ki

ye kaisa zoam tha kin aalamon mein rahta tha
diye ne kis liye bai'at charagh ki nahin ki

tumhin batao mulaqat se hai kya hasil
jo baat karni thi us se agar wahi nahin ki

hamari pyas ke sahra mein bud-o-bash to hai
magar shikayat-e-tishna-labi kabhi nahin ki

KHazana ilm-o-hunar ka luTa raha hai wo 'nur'
barae namwari us ne shaeri nahin ki

(465) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gul-e-KHulus Ki Tarsil Mein Kami Nahin Ki written by Noorul Hasan Noor at UrduPoint. Gul-e-KHulus Ki Tarsil Mein Kami Nahin Ki is one of the masterpieces written by Noorul Hasan Noor. You can also find the complete poetry collection of Noorul Hasan Noor by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Noorul Hasan Noor' above.

Gul-e-KHulus Ki Tarsil Mein Kami Nahin Ki is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gul-e-KHulus Ki Tarsil Mein Kami Nahin Ki, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.