Duniya Sanwar Gai Hai Nizam-e-digar Ke Baad, Urdu Ghazal By Nushur Wahidi

Duniya Sanwar Gai Hai Nizam-e-digar Ke Baad is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nushur Wahidi. Duniya Sanwar Gai Hai Nizam-e-digar Ke Baad comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Duniya Sanwar Gai Hai Nizam-e-digar Ke Baad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دنیا سنور گئی ہے نظام دگر کے بعد

نشور واحدی

دنیا سنور گئی ہے نظام دگر کے بعد

منزل پہ آ گئی ہے مشیت سفر کے بعد

جیسے دل و نظر کے حجابات اٹھ گئے

عالم خبر کا ہے نگہہ بے خبر کے بعد

لالے میں رنگ ہے یہ کہاں یہ لہو ترنگ

دنیا حسین ہے مرے ذوق نظر کے بعد

بیتی ہوئی حیات محبت کا تذکرہ

شام و سحر کی یاد ہے شام و سحر کے بعد

میں آ گیا سکوت و تبسم کے درمیاں

وہ مسکرا دیے سخن مختصر کے بعد

ہر راستے کو لوٹ لیا اعتماد نے

رہزن بھی ایک شے ہے مگر راہبر کے بعد

تاریکیٔ حیات میں رخشاں ہے حسن دوست

جلوے کہاں رہیں گے ہجوم نظر کے بعد

حاصل ہے کائنات کا درد دل حیات

دنیا میں کیا رہا مری آہ سحر کے بعد

منزل پہ چھڑ گئی ہے کدورت کی داستاں

ہر کارواں نے گرد اڑائی سفر کے بعد

نقش قدم کی آنکھ کھلی تیری راہ میں

رستے بھی سو گئے ہیں تری رہ گزر کے بعد

اہل ہنر کو دیکھ رہا ہوں غمیں نشورؔ

دنیا ہنر ہے راس بھی آئے ہنر کے بعد

نشور واحدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Duniya Sanwar Gai Hai Nizam-e-digar Ke Baad

Nushur Wahidi

duniya sanwar gai hai nizam-e-digar ke baad
manzil pe aa gai hai mashiyyat safar ke baad

jaise dil-o-nazar ke hijabaat uTh gae
aalam KHabar ka hai nigah-e-be-KHabar ke baad

lale mein rang hai ye kahan ye lahu tarang
duniya hasin hai mere zauq-e-nazar ke baad

biti hui hayat mohabbat ka tazkira
sham-o-sahar ki yaad hai sham-o-sahar ke baad

main aa gaya sukut-o-tabassum ke darmiyan
wo muskura diye suKHan-e-muKHtasar ke baad

har raste ko luT liya e'timad ne
rahzan bhi ek shai hai magar rahbar ke baad

tariki-e-hayat mein raKHshan hai husn-e-dost
jalwe kahan rahenge hujum-e-nazar ke baad

hasil hai kaenat ka dard-e-dil-e-hayat
duniya mein kya raha meri aah-e-sahar ke baad

manzil pe chhiD gai hai kudurat ki dastan
har karwan ne gard uDai safar ke baad

naqsh-e-qadam ki aankh khuli teri rah mein
raste bhi so gae hain teri rahguzar ke baad

ahl-e-hunar ko dekh raha hun ghamin 'nushur'
duniya hunar hai ras bhi aae hunar ke baad

(469) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Duniya Sanwar Gai Hai Nizam-e-digar Ke Baad written by Nushur Wahidi at UrduPoint. Duniya Sanwar Gai Hai Nizam-e-digar Ke Baad is one of the masterpieces written by Nushur Wahidi. You can also find the complete poetry collection of Nushur Wahidi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nushur Wahidi' above.

Duniya Sanwar Gai Hai Nizam-e-digar Ke Baad is a widely read Urdu Ghazal. If you like Duniya Sanwar Gai Hai Nizam-e-digar Ke Baad, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.