Nazar Nazar Ko Saqi-e-hayat Kahte Aae Hain, Urdu Ghazal By Nushur Wahidi

Nazar Nazar Ko Saqi-e-hayat Kahte Aae Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nushur Wahidi. Nazar Nazar Ko Saqi-e-hayat Kahte Aae Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Nazar Nazar Ko Saqi-e-hayat Kahte Aae Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نظر نظر کو ساقیٔ حیات کہتے آئے ہیں

نشور واحدی

نظر نظر کو ساقیٔ حیات کہتے آئے ہیں

ان انکھڑیوں کو مے کدہ کی رات کہتے آئے ہیں

بہ چاشنیٔ عہد نو جو بات کہتے آئے ہیں

غم جہاں کو دل کی کائنات کہتے آئے ہیں

فریب شوق کو تخیلات کہتے آئے ہیں

بکھر گئے تو گیسوؤں کو رات کہتے آئے ہیں

اسی کو زندگی کا ساز دے کے مطمئن ہوں میں

وہ حسن جس کو حسن بے ثبات کہتے آئے ہیں

یہ مخلصان عشق بھی عجب ادا پرست ہیں

وہ مسکرا دیے تو التفات کہتے آئے ہیں

حیات تا ممات ایک سلسلہ ہے عشق کا

کہاں ہیں وہ جو مرگ کو نجات کہتے آئے ہیں

نہ زاہدوں کے وعظ ترک عشق پر ہنسے کوئی

یہ بے خبر بھی حوصلے کی بات کہتے آئے ہیں

یہ ظرف بادہ کیا ہے بادہ آشنا سے پوچھئے

ہم اس کو شیشۂ تجلیات کہتے آئے ہیں

غزل ہے نام حسن کے معاملات خام کا

خطا ہوئی کہ دلبروں کی بات کہتے آئے ہیں

سکون و خواب زندگی کی راہ میں کہاں نشورؔ

حیات کو مسافرت کی رات کہتے آئے ہیں

نشور واحدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nazar Nazar Ko Saqi-e-hayat Kahte Aae Hain

Nushur Wahidi

nazar nazar ko saqi-e-hayat kahte aae hain
un ankhDiyon ko mai-kade ki raat kahte aae hain

ba-chashni-e-ahd-e-nau jo baat kahte aae hain
gham-e-jahan ko dil ki kaenat kahte aae hain

fareb-e-shauq ko taKHaiyyulat kahte aae hain
bikhar gae to gesuon ko raat kahte aae hain

usi ko zindagi ka saz de ke mutmain hun main
wo husn jis ko husn-e-be-sabaat kahte aae hain

ye muKHlisan-e-ishq bhi ajab ada-parast hain
wo muskura diye to iltifat kahte aae hain

hayat ta-mamat ek silsila hai ishq ka
kahan hain wo jo marg ko najat kahte aae hain

na zahidon ke waz-e-tark-e-ishq par hanse koi
ye be-KHabar bhi hausle ki baat kahte aae hain

ye zarf-e-baada kya hai baada-ashna se puchhiye
hum is ko shisha-e-tajalliyat kahte aae hain

ghazal hai nam husn ke muamalat-e-KHam ka
KHata hui ki dilbaron ki baat kahte aae hain

sukun o KHwab zindagi ki rah mein kahan 'nushur'
hayat ko musafirat ki raat kahte aae hain

(383) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nazar Nazar Ko Saqi-e-hayat Kahte Aae Hain written by Nushur Wahidi at UrduPoint. Nazar Nazar Ko Saqi-e-hayat Kahte Aae Hain is one of the masterpieces written by Nushur Wahidi. You can also find the complete poetry collection of Nushur Wahidi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nushur Wahidi' above.

Nazar Nazar Ko Saqi-e-hayat Kahte Aae Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nazar Nazar Ko Saqi-e-hayat Kahte Aae Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.