Chhupi Hui Kahin Sajdon Mein Sar-kashi To Nahin, Urdu Ghazal By Panna Lal Noor

Chhupi Hui Kahin Sajdon Mein Sar-kashi To Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Panna Lal Noor. Chhupi Hui Kahin Sajdon Mein Sar-kashi To Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Chhupi Hui Kahin Sajdon Mein Sar-kashi To Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چھپی ہوئی کہیں سجدوں میں سرکشی تو نہیں

پنا لعل نور

چھپی ہوئی کہیں سجدوں میں سرکشی تو نہیں

یہ میری رسم عبادت بھی بندگی تو نہیں

بغیر وجہ یہ ساقی کی بے رخی تو نہیں

میں سوچتا ہوں کہیں کچھ خطا ہوئی تو نہیں

میں مطمئن ہوں مگر صرف یہ بتا دیجے

یہ غم جو آپ نے بخشا ہے عارضی تو نہیں

سبھی کے دل میں محبت کی آگ ہوتی ہے

سبھی کو راس بھی آئے یہ لازمی تو نہیں

اجل کا چہرہ نظر آئے کچھ بندھے ڈھارس

رہ حیات میں اتنی بھی روشنی تو نہیں

تصورات میں کچھ دیر کھو تو جاتا ہوں

مگر اب ان میں بھی اگلی سی دل کشی تو نہیں

چمن وہی ہے بہاریں وہی ہیں گل بھی وہی

مگر گلوں میں وہ خوشبو وہ تازگی تو نہیں

ہر ایک چیز نظر آتی ہے اداس اداس

کہیں یہ میرے ہی احساس کی کمی تو نہیں

یہ سارے رنج بقید حیات ہی تو نہیں

حیات میری کوئی عمر خضر کی تو نہیں

کسی پہ برسے کوئی بوند بوند کو ترسے

یہ اور جو بھی ہو ساقی کی منصفی تو نہیں

کبھی جو نورؔ کوئی رشتۂ وفا ٹوٹے

یہ دیکھ لینا کہ آنکھوں میں کچھ نمی تو نہیں

پنا لعل نور

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chhupi Hui Kahin Sajdon Mein Sar-kashi To Nahin

Panna Lal Noor

chhupi hui kahin sajdon mein sar-kashi to nahin
ye meri rasm-e-ibaadat bhi bandagi to nahin

baghair wajh ye saqi ki be-ruKHi to nahin
main sochta hun kahin kuchh KHata hui to nahin

main mutmain hun magar sirf ye bata dije
ye gham jo aap ne baKHsha hai aarzi to nahin

sabhi ke dil mein mohabbat ki aag hoti hai
sabhi ko ras bhi aae ye lazmi to nahin

ajal ka chehra nazar aae kuchh bandhe Dhaaras
rah-e-hayat mein itni bhi raushni to nahin

tasawwuraat mein kuchh der kho to jata hun
magar ab in mein bhi agli si dilkashi to nahin

chaman wahi hai bahaaren wahi hain gul bhi wahi
magar gulon mein wo KHushbu wo tazgi to nahin

har ek chiz nazar aati hai udas udas
kahin ye mere hi ehsas ki kami to nahin

ye sare ranj ba-qaid-e-hayat hi to nahin
hayat meri koi umr KHizar ki to nahin

kisi pe barse koi bund bund ko tarse
ye aur jo bhi ho saqi ki munsifi to nahin

kabhi jo 'nur' koi rishta-e-wafa TuTe
ye dekh lena ki aankhon mein kuchh nami to nahin

(382) ووٹ وصول ہوئے

You can read Chhupi Hui Kahin Sajdon Mein Sar-kashi To Nahin written by Panna Lal Noor at UrduPoint. Chhupi Hui Kahin Sajdon Mein Sar-kashi To Nahin is one of the masterpieces written by Panna Lal Noor. You can also find the complete poetry collection of Panna Lal Noor by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Panna Lal Noor' above.

Chhupi Hui Kahin Sajdon Mein Sar-kashi To Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Chhupi Hui Kahin Sajdon Mein Sar-kashi To Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.