Kisi Ke Hijr Mein Qurban Raat Karte Hue, Urdu Ghazal By Pawan Kumar

Kisi Ke Hijr Mein Qurban Raat Karte Hue is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Pawan Kumar. Kisi Ke Hijr Mein Qurban Raat Karte Hue comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kisi Ke Hijr Mein Qurban Raat Karte Hue on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کسی کے ہجر میں قربان رات کرتے ہوئے

پون کمار

کسی کے ہجر میں قربان رات کرتے ہوئے

کٹا ہے وقت ستاروں سے بات کرتے ہوئے

وہ کیا ڈرے گا نئی واردات کرتے ہوئے

ہمیں گزرنا ہے خود احتیاط کرتے ہوئے

کسی کے خواب اٹھائے کسی کی آنکھوں نے

کسی کو دیکھا ہے پلکوں کو ہاتھ کرتے ہوئے

یہ راہ عشق ہے اس میں بلا کی پھسلن ہے

سنبھل سنبھل کے چلو احتیاط کرتے ہوئے

بتاؤں کیا کہ میں پہنچا ہوں کس طرح تم تک

نا ممکنات کو بھی ممکنات کرتے ہوئے

وہ ایک چاند کہ جس کو زمیں پہ لانا ہے

نکل رہا ہوں میں گلیوں میں رات کرتے ہوئے

مباحثوں سے بہت تنگ آ گیا ہے پونؔ

سنا دے اب تو سزا التفات کرتے ہوئے

پون کمار

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kisi Ke Hijr Mein Qurban Raat Karte Hue

Pawan Kumar

kisi ke hijr mein qurban raat karte hue
kaTa hai waqt sitaron se baat karte hue

wo kya Darega nai wardat karte hue
hamein guzarna hai KHud ehtiyat karte hue

kisi ke KHwab uThae kisi ki aankhon ne
kisi ko dekha hai palkon ko hath karte hue

ye rah-e-ishq hai is mein bala ki phislan hai
sambhal sambhal ke chalo ehtiyat karte hue

bataun kya ki main pahuncha hun kis tarah tum tak
na-mumkinat ko bhi mumkinat karte hue

wo ek chand ki jis ko zamin pe lana hai
nikal raha hun main galiyon mein raat karte hue

mubahison se bahut tang aa gaya hai 'pawan'
suna de ab tu saza iltifat karte hue

(505) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kisi Ke Hijr Mein Qurban Raat Karte Hue written by Pawan Kumar at UrduPoint. Kisi Ke Hijr Mein Qurban Raat Karte Hue is one of the masterpieces written by Pawan Kumar. You can also find the complete poetry collection of Pawan Kumar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Pawan Kumar' above.

Kisi Ke Hijr Mein Qurban Raat Karte Hue is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kisi Ke Hijr Mein Qurban Raat Karte Hue, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.