Kahan Se Aa Gaya Kahan Ye Sham Bhi Kahan Hui, Urdu Ghazal By Payam Fatehpuri

Kahan Se Aa Gaya Kahan Ye Sham Bhi Kahan Hui is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Payam Fatehpuri. Kahan Se Aa Gaya Kahan Ye Sham Bhi Kahan Hui comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kahan Se Aa Gaya Kahan Ye Sham Bhi Kahan Hui on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کہاں سے آ گیا کہاں یہ شام بھی کہاں ہوئی

پیام فتحپوری

کہاں سے آ گیا کہاں یہ شام بھی کہاں ہوئی

نہ ہم نفس نہ ہم زباں یہ شام بھی کہاں ہوئی

بجھی نظر بجھے قدم نہ راہبر نہ ہم سفر

نہ رہ گزر نہ کارواں یہ شام بھی کہاں ہوئی

نہ شمع دل نہ شمع رخ نجوم شب نہ ماہ شب

نگاہ و دل دھواں دھواں یہ شام بھی کہاں ہوئی

نہ گیسوؤں کی چھاؤں ہے نہ عارضوں کی چاندنی

نہ مانگ کی وہ کہکشاں یہ شام بھی کہاں ہوئی

حیات غم کے بوجھ سے دبی دبی تھکی تھکی

لٹی لٹی سی بزم جاں یہ شام بھی کہاں ہوئی

لگی ہے جیسے آگ سی چتا میں جل رہا ہوں میں

پگھل رہے ہیں جسم و جاں یہ شام بھی کہاں ہوئی

پیامؔ اس مقام پر ہے آج دل کا کارواں

جہاں زمیں نہ آسماں یہ شام بھی کہاں ہوئی

پیام فتحپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kahan Se Aa Gaya Kahan Ye Sham Bhi Kahan Hui

Payam Fatehpuri

kahan se aa gaya kahan ye sham bhi kahan hui
na ham-nafas na ham-zaban ye sham bhi kahan hui

bujhi nazar bujhe qadam na rahbar na ham-safar
na rahguzar na karwan ye sham bhi kahan hui

na sham-e-dil na shama-e-ruKH nujum-e-shab na mah-e-shab
nigah-o-dil dhuan dhuan ye sham bhi kahan hui

na gesuon ki chhanw hai na aarizon ki chandni
na mang ki wo kahkashan ye sham bhi kahan hui

hayat-e-gham ke bojh se dabi dabi thaki thaki
luTi luTi si bazm-e-jaan ye sham bhi kahan hui

lagi hai jaise aag si chita mein jal raha hun main
pighal rahe hain jism-o-jaan ye sham bhi kahan hui

'payam' us maqam par hai aaj dil ka karwan
jahan zamin na aasman ye sham bhi kahan hui

(551) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kahan Se Aa Gaya Kahan Ye Sham Bhi Kahan Hui written by Payam Fatehpuri at UrduPoint. Kahan Se Aa Gaya Kahan Ye Sham Bhi Kahan Hui is one of the masterpieces written by Payam Fatehpuri. You can also find the complete poetry collection of Payam Fatehpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Payam Fatehpuri' above.

Kahan Se Aa Gaya Kahan Ye Sham Bhi Kahan Hui is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kahan Se Aa Gaya Kahan Ye Sham Bhi Kahan Hui, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.