BaDa Shahr Aur Tanha Aadmi, Urdu Nazam By Perwaiz Shaharyar

BaDa Shahr Aur Tanha Aadmi is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Perwaiz Shaharyar. BaDa Shahr Aur Tanha Aadmi comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read BaDa Shahr Aur Tanha Aadmi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بڑا شہر اور تنہا آدمی

پرویز شہریار

دسمبر کا مہینہ اور دلی کی سردی

ستاروں کی جھلملاتی جھرمٹ سے پرے

آسمان کے ایک سنسان گوشے میں

پونم کا ٹھٹھرتا ہوا کوئی چاند جیسے

بادلوں میں کھاتا ہے متواتر ہچکولے

ہولے ہولے

تنہا مسافر

اور دور تک کہرے کی چادر میں لپٹی

بل کھاتی سڑکیں

دھند کی غبار میں کھویا ہوا انڈیا گیٹ

ٹھنڈ میں ٹھوکریں کھاتا مسافر

خوش نصیب ہے

بادلوں میں گھس جاتا ہے چاند

میری کرسمس کی رونقیں پھیلی ہیں تمام

ستاروں سے روشن سجے دھجے بازار

لذیذ کھانوں کی خوشبوئیں جہاں پھیلی ہیں ہر سو

بازار کی گرم فضاؤں میں

مے کی سرمستی میں ڈوبا ہوا ہے پورے شہر کا شباب

تنہا مسافر کی

چند روزہ مسافت بھی کیا شے ہے یارو!

ہم وطنوں سے دور

اپنوں سے دور

جمنا تٹ پر جیسے بن مانجھی کے ناؤ

بوٹ کلب کے سرد پانی میں جیسے

تیرتا رکتا ہوا کوئی تنہا حباب

تنہا مسافر سوچتا ہے

کوئی ہے جس کا وہ ہاتھ تھام لے ہولے ہولے

کوئی ہے جو اس کے ساتھ کچھ دور چلے ہولے ہولے

دھند میں کھوئی ہوئی منزلیں

طویل سڑکیں

اور تنہا مسافر

جیسے پونم کا ٹھٹھرتا ہوا کوئی چاند

بادلوں میں کھاتا ہے متواتر ہچکولے

ہولے ہولے

پرویز شہریار

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

BaDa Shahr Aur Tanha Aadmi

Perwaiz Shaharyar

december ka mahina aur dilli ki sardi
sitaron ki jhilmilati jhurmuT se pare
aasman ke ek sunsan goshe mein
punam ka TheThurta hua koi chand jaise
baadalon mein khata hai mutwatir hachkole
haule haule
tanha musafir
aur dur tak kohre ki chadar mein lipTi
bal khati saDken
dhund ki ghubar mein khoya hua india gate
ThanD mein Thokaren khata musafir
KHush nasib hai
baadalon mein ghus jata hai chand
meri christmas ki raunaqen phaili hain tamam
sitaron se raushan saje dhaje bazar
laziz khanon ki KHushbuen jahan phaili hain har-su
bazar ki garm fazaon mein
mai ki sarmasti mein Duba hua hai pure shahr ka shabab
tanha musafir ki
chand roza masafat bhi kya shai hai yaro!
ham-watanon se dur
apno se dur
jamuna taT par jaise bin manjhi ke naw
boat club ke sard pani mein jaise
tairta rukta hua koi tanha hubab
tanha musafir sochta hai
koi hai jis ka wo hath tham le haule haule
koi hai jo us ke sath kuchh daur chale haule haule
dhund mein khoi hui manzilen
tawil saDken
aur tanha musafir
jaise punam ka TheThurta hua koi chand
baadalon mein khata hai mutwatir hachkole
haule haule

(607) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read BaDa Shahr Aur Tanha Aadmi written by Perwaiz Shaharyar at UrduPoint. BaDa Shahr Aur Tanha Aadmi is one of the masterpieces written by Perwaiz Shaharyar. You can also find the complete poetry collection of Perwaiz Shaharyar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Perwaiz Shaharyar' above.

BaDa Shahr Aur Tanha Aadmi is a widely read Urdu Nazam. If you like BaDa Shahr Aur Tanha Aadmi, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.