Taaqub Apne Ham-zad Ka, Urdu Nazam By Perwaiz Shaharyar

Taaqub Apne Ham-zad Ka is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Perwaiz Shaharyar. Taaqub Apne Ham-zad Ka comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Taaqub Apne Ham-zad Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تعاقب اپنے ہم زاد کا

پرویز شہریار

چھوڑ آیا ہوں میں اپنا چھوٹا سا گھر

تعاقب کرتا ہے وہ اب میرا عمر بھر

جنگل کنارے پربتوں کے تلے

ہری بھری وادیوں میں

جہاں بہتے تھے برساتی پرنالے

چھوڑ آیا ہوں میں اپنا چھوٹا سا گھر

حد نگاہ تک وہ خوشنما منظر

بادلوں کی اوٹ سے پہاڑی نظارے

بجلی کی چمک بادل کی گرج

کبھی چھت ٹپکتی تھی تو کبھی ہلتی تھیں دیواریں

کتاب کاپیوں کو سینے میں چھپانا

سرد ہوا کے جھونکوں سے چراغ کا ٹمٹمانا

وہ تیرا معصوم چہرہ

وہ تیرا بھیگی پلکوں سے مسکرانا

وہ آزمائش کی کالی راتیں وہ امتحانوں کا ڈر

چھوڑ آیا ہوں میں اپنا چھوٹا سا گھر

حافظے میں دفن ہے جس کا اب بھی وہ منظر

مٹ میلی سی تھیں جس کی دیواریں

سرخ تھا جس کا چھپر

جنگلے کی کمزور سلاخوں سے

آنکھوں میں آنسو لیے

ایک لڑکا دیکھا کرتا تھا

قومی شاہراہ کا منظر

جہاں سے دیوانہ وار بسوں اور ٹرکوں کا کارواں

بھاگتا دوڑتا رہتا تھا بڑے شہروں کی سمت

ہاں بڑے شہروں کی سمت

جن کی خود لاپتہ تھیں سمتیں!!

آج چالیس سال بعد وہ لڑکا سوچتا ہے

بڑا شہر سراب ہے سنہری ہرن کا خواب ہے

بڑے شہر کی چاہ میں دوڑتے دوڑتے

وہ بے سمت بے منظر بے گھر ہو گیا ہے

لیکن پھر کبھی کبھی اسے احساس ہوتا ہے

اس کی بھی اپنی اساس ہے

اس کا سہانہ منظر اس کے پاس ہے

اس کا بھی اپنا گھر ہے

وہ چھوٹا سا گھر وہ مٹ میلی دیواریں

وہ سرخ چھپر

جہاں آشنا نگاہیں

جہاں محبت آمیز باہیں

آج بھی اس کا انتظار کر رہی ہیں

اس شہر کو چھوڑ کر اک دن وہ چلا جائے گا

وہاں سے پھر کبھی کہیں بھی نہیں جائے گا

پرویز شہریار

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Taaqub Apne Ham-zad Ka

Perwaiz Shaharyar

chhoD aaya hun main apna chhoTa sa ghar
taaqub karta hai wo ab mera umr bhar
jangal kinare parbaton ke tale
hari-bhari wadiyon mein
jahan bahte the barsati parnale
chhoD aaya hun main apna chhoTa sa ghar
had-e-nigah tak wo KHushnuma manzar
baadalon ki oT se pahaDi nazare
bijli ki chamak baadal ki garaj
kabhi chhat Tapakti thi to kabhi hilti thin diwaren
kitab copiyon ko sine mein chhupana
sard hawa ke jhonkon se charagh ka TimTimana
wo tera masum chehra
wo tera bhigi palkon se muskurana
wo aazmaish ki kali raaten wo imtihanon ka Dar
chhoD aaya hun main apna chhoTa sa ghar
hafize mein dafn hai jis ka ab bhi wo manzar
maTmaili si thin jis ki diwaren
surKH tha jis ka chhappar
jangle ki kamzor salaKHon se
aankhon mein aansu liye
ek laDka dekha karta tha
qaumi shah-rah ka manzar
jahan se diwana-war bason aur trakon ka karwan
bhagta dauDta rahta tha baDe shahron ki samt
han baDe shahron ki samt
jin ki KHud lapata thin samten!!
aaj chaalis sal baad wo laDka sochta hai
baDa shahr sarab hai sunahri hiran ka KHwab hai
baDe shahr ki chah mein dauDte dauDte
wo be-samt be-manzar be-ghar ho gaya hai
lekin phir kabhi kabhi use ehsas hota hai
us ki bhi apni asas hai
us ka suhana manzar is ke pas hai
us ka bhi apna ghar hai
wo chhoTa sa ghar wo maTmaili diwaren
wo surKH chhappar
jahan aashna nigahen
jahan mohabbat-amez bahen
aaj bhi us ka intizar kar rahi hain

is shahr ko chhoD kar ek din wo chala jaega
wahan se phir kabhi kahin bhi nahin jaega

(418) ووٹ وصول ہوئے

You can read Taaqub Apne Ham-zad Ka written by Perwaiz Shaharyar at UrduPoint. Taaqub Apne Ham-zad Ka is one of the masterpieces written by Perwaiz Shaharyar. You can also find the complete poetry collection of Perwaiz Shaharyar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Perwaiz Shaharyar' above.

Taaqub Apne Ham-zad Ka is a widely read Urdu Nazam. If you like Taaqub Apne Ham-zad Ka, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.