Thak Thak Gae Hain Aashiq Darmanda-e-fughan Ho, Urdu Ghazal By Qalaq Merathi

Thak Thak Gae Hain Aashiq Darmanda-e-fughan Ho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qalaq Merathi. Thak Thak Gae Hain Aashiq Darmanda-e-fughan Ho comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Thak Thak Gae Hain Aashiq Darmanda-e-fughan Ho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تھک تھک گئے ہیں عاشق درماندۂ فغاں ہو

قلق میرٹھی

تھک تھک گئے ہیں عاشق درماندۂ فغاں ہو

یا رب کہیں وہ غفلت فریاد بے کساں ہو

یا قہر ہے وہ شوخی یا پردہ ہے نظر کا

دل میں تو اس کا گھر ہو اور آنکھ سے نہاں ہو

یہ شور بھر رہا ہے فریاد کا جہاں میں

جو بات لب پہ آئی الٹی پھری فغاں ہو

کس کس دعا کو مانگیں کیا کیا ہوس نکالیں

اک جاں کدھر کدھر ہو اک دل کہاں کہاں ہو

برگشتگیٔ قسمت یہ چھیڑ کیا نکالی

جو مدعائے دل ہو وہ مدعیٔ جاں ہو

مقدور تک تو اپنے تجھ سے نبھائیں گے ہم

بے جان و دل ہیں حاضر گر قصد امتحاں ہو

صیاد میں نہیں ہوں گم کردہ آشیاں ہوں

اے ہم صفیرو بولو کس جا ہو اور کہاں ہو

اے آہ دل سے اٹھ کر لب پر ہے کیا تأمل

جا شورش زمیں ہو آشوب آسماں ہو

مٹ مٹ کے بھی ہمارا اک بن رہے گا ساماں

اجڑے اگر بہاراں آبادیٔ خزاں ہو

جب بیٹھنے پہ آئے اے ضعف بیٹھ رہیے

پھر کیا ہے یہ تکلف اس کا ہی آستاں ہو

تو ہی رہے گی بلبل یا میں ہی اس چمن میں

یا تیرا ہی ہو قصہ یا میری داستاں ہو

میرے سخن میں کیا ہے کچھ خال و خط بیاں ہے

پر دل سے اس کے پوچھے جو کوئی نکتہ داں ہو

میرا سلام کہنا جھک کر قلقؔ وہی ہے

اس کی گلی میں بیٹھا موزوں سا جو جواں ہو

قلق میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Thak Thak Gae Hain Aashiq Darmanda-e-fughan Ho

Qalaq Merathi

thak thak gae hain aashiq darmanda-e-fughan ho
yarab kahin wo ghaflat fariyaad-e-be-kasan ho

ya qahr hai wo shoKHi ya parda hai nazar ka
dil mein to us ka ghar ho aur aankh se nihan ho

ye shor bhar raha hai fariyaad ka jahan mein
jo baat lab pe aai ulTi phiri fughan ho

kis kis dua ko mangen kya kya hawas nikalen
ek jaan kidhar kidhar ho ek dil kahan kahan ho

bargasht-agi-e-qismat ye chheD kya nikali
jo muddaa-e-dil ho wo muddai-e-jaan ho

maqdur tak to apne tujh se nibhaenge hum
be-jaan-o-dil hain hazir gar qasd-e-imtihan ho

sayyaad main nahin hun gum-karda aashiyan hun
ai ham-safiro bolo kis ja ho aur kahan ho

ai aah dil se uTh kar lab par hai kya tamul
ja shorish-e-zamin ho aashob-e-asman ho

miT miT ke bhi hamara ek ban rahega saman
ujDe agar bahaaran aabaadi-e-KHizan ho

jab baiThne pe aae ai zoaf baiTh rahiye
phir kya hai ye takalluf us ka hi aastan ho

tu hi rahegi bulbul ya main hi is chaman mein
ya tera hi ho qissa ya meri dastan ho

mere suKHan mein kya hai kuchh KHal-o-KHat bayan hai
par dil se us ke puchhe jo koi nukta-dan ho

mera salam kahna jhuk kar 'qalaq' wahi hai
us ki gali mein baiTha mauzun sa jo jawan ho

(349) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Thak Thak Gae Hain Aashiq Darmanda-e-fughan Ho written by Qalaq Merathi at UrduPoint. Thak Thak Gae Hain Aashiq Darmanda-e-fughan Ho is one of the masterpieces written by Qalaq Merathi. You can also find the complete poetry collection of Qalaq Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qalaq Merathi' above.

Thak Thak Gae Hain Aashiq Darmanda-e-fughan Ho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Thak Thak Gae Hain Aashiq Darmanda-e-fughan Ho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.