Tujhe Kal Hi Se Nahin Be-kali Na Kuchh Aaj Hi Se Raha Qalaq, Urdu Ghazal By Qalaq Merathi

Tujhe Kal Hi Se Nahin Be-kali Na Kuchh Aaj Hi Se Raha Qalaq is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qalaq Merathi. Tujhe Kal Hi Se Nahin Be-kali Na Kuchh Aaj Hi Se Raha Qalaq comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tujhe Kal Hi Se Nahin Be-kali Na Kuchh Aaj Hi Se Raha Qalaq on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تجھے کل ہی سے نہیں بے کلی نہ کچھ آج ہی سے رہا قلق

قلق میرٹھی

تجھے کل ہی سے نہیں بے کلی نہ کچھ آج ہی سے رہا قلق

تری عمر ساری یوں ہی کٹی تو ہمیشہ یوں ہی جیا قلقؔ

ہوا دل کے جانے کا اب یقیں کہ وہ درد بر میں مرے نہیں

نہ وہ اضطراب قضا کہیں نہ وہ حشر خیز بلا قلقؔ

مجھے حشر کر دیا بیٹھنا مجھے قہر ہو گیا ٹھہرنا

ہے بسان صبر گریز پا نہیں غم گسار مرا قلق

انہیں نالہ کرنے کا رنج کیا انہیں آہ بھرنے کا رنج کیا

انہیں میرے مرنے کا رنج کیا انہیں میرے جانے کا کیا قلق

یہی رشک نے دیے مشورے کبھی پردہ ان کا نہ کھولیے

مرے جی ہی جی میں پھرا کیے مرے دل ہی دل میں رہا قلق

نہ تو روئے غیر نہ گھر رہے نہ شب فراق میں مر رہے

نہ وفا کرے نہ ستم سہے نہ جفا ہوئی نہ ہوا قلق

نہ وہ میں رہا نہ وہ تو رہا نہ وہ آرزو نہ وہ مدعا

ہوا زندگی کا بھی فیصلہ مگر ایک تیرا رہا قلق

رہے لاکھ صدمے نفس نفس جیے کیوں کہ کوئی پرائے بس

شب وصل مرنے کی تھی ہوس شب ہجر جینے کا تھا قلق

نہیں چین ان کو بھی ایک دم کہ ہے فکر جور کا غم سا غم

ہوئے مجھ پہ روز نئے ستم رہا ان کو روز نیا قلق

کرے ربط کوئی کسی سے کیا کہ اٹھا طریق نباہ کا

نہ کرے گی تجھ سے وفا جفا نہ کرے گا مجھ سے وفا قلق

میں جلا تو شعلے میں جوش تھا جو ہوا میں خاک ہے زلزلہ

میں ہزار شکل بدل چکا پہ کسی طرح نہ چھپا قلق

نہیں تیرے پھرنے کا کچھ گلہ کہ زمانہ سارا بدل گیا

جو شب وصال میں چین تھا وہی روز ہجر بنا قلق

وہ ہے التفات دم ستم کہ زیادہ اس سے نہیں کرم

مرے چاک دل کا رفو الم مرے درد جاں کی دوا قلق

گئے واں بھی پر نہ گھٹا الم چھٹے سب سے پر نہ چھٹا الم

مرے پاس سے نہ ہٹا الم مرے ساتھ سے نہ ٹلا قلق

ابھی تھا صلاۓ زن سبق ابھی تھی کتاب ورق ورق

کبھی مدرسے میں رہا قلقؔ کبھی میکدے میں رہا قلقؔ

قلق میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tujhe Kal Hi Se Nahin Be-kali Na Kuchh Aaj Hi Se Raha Qalaq

Qalaq Merathi

tujhe kal hi se nahin be-kali na kuchh aaj hi se raha qalaq
teri umr sari yunhi kaTi tu hamesha yunhi jiya 'qalaq'

hua dil ke jaane ka ab yaqin ki wo dard-e-bar mein mare nahin
na wo iztirab-e-qaza kahin na wo hashr-KHez bala 'qalaq'

mujhe hashr kar diya baiThna mujhe qahr ho gaya Thaharna
hai basan-e-sabr gurez-pa nahin gham-gusar mera qalaq

unhen nala karne ka ranj kya unhen aah bharne ka ranj kya
unhen mere marne ka ranj kya unhen mere jaane ka kya qalaq

yahi rashk ne diye mashware kabhi parda un ka na kholiye
mere ji hi ji mein phira kiye mere dil hi dil mein raha qalaq

na to roe ghair na ghar rahe na shab-e-firaq mein mar rahe
na wafa kare na sitam sahe na jafa hui na hua qalaq

na wo main raha na wo tu raha na wo aarzu na wo muddaa
hua zindagi ka bhi faisla magar ek tera raha qalaq

rahe lakh sadme nafas nafas jiye kyun ki koi parae bas
shab-e-wasl marne ki thi hawas shab-e-hijr jine ka tha qalaq

nahin chain un ko bhi ek dam ki hai fikr-e-jaur ka gham sa gham
hue mujh pe roz nae sitam raha un ko roz naya qalaq

kare rabt koi kisi se kya ki uTha tariq nibah ka
na karegi tujh se wafa jafa na karega mujh se wafa qalaq

main jala to shoale mein josh tha jo hua main KHak hai zalzala
main hazar shakl badal chuka pa kisi tarah na chhupa qalaq

nahin tere phirne ka kuchh gila ki zamana sara badal gaya
jo shab-e-visal mein chain tha wahi roz-e-hijr bana qalaq

wo hai iltifat dam-e-sitam ki ziyaada is se nahin karam
mere chaak-e-dil ka rafu alam mere dard-e-jaan ki dawa qalaq

gae wan bhi par na ghaTa alam chhuTe sab se par na chhuTa alam
mere pas se na haTa alam mere sath se na Tala qalaq

abhi tha sala-e-zan-e-sabaq abhi thi kitab-e-waraq-waraq
kabhi madrase mein raha 'qalaq' kabhi mai-kade mein raha 'qalaq'

(379) ووٹ وصول ہوئے

You can read Tujhe Kal Hi Se Nahin Be-kali Na Kuchh Aaj Hi Se Raha Qalaq written by Qalaq Merathi at UrduPoint. Tujhe Kal Hi Se Nahin Be-kali Na Kuchh Aaj Hi Se Raha Qalaq is one of the masterpieces written by Qalaq Merathi. You can also find the complete poetry collection of Qalaq Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qalaq Merathi' above.

Tujhe Kal Hi Se Nahin Be-kali Na Kuchh Aaj Hi Se Raha Qalaq is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tujhe Kal Hi Se Nahin Be-kali Na Kuchh Aaj Hi Se Raha Qalaq, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.