KHwahishen Hain Bahut Aarzuen Bahut Sochti Hun Ki Tum Bin Ye Ghar Kya Karun, Urdu Ghazal By Qamar Suroor

KHwahishen Hain Bahut Aarzuen Bahut Sochti Hun Ki Tum Bin Ye Ghar Kya Karun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qamar Suroor. KHwahishen Hain Bahut Aarzuen Bahut Sochti Hun Ki Tum Bin Ye Ghar Kya Karun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHwahishen Hain Bahut Aarzuen Bahut Sochti Hun Ki Tum Bin Ye Ghar Kya Karun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خواہشیں ہیں بہت آرزوئیں بہت سوچتی ہوں کہ تم بن یہ گھر کیا کروں

قمر سرور

خواہشیں ہیں بہت آرزوئیں بہت سوچتی ہوں کہ تم بن یہ گھر کیا کروں

راہ چلتے ہوئے تھک گئے ہیں قدم ختم ہوتا نہیں یہ سفر کیا کروں

کوئی سورج مرے ساتھ چلتا نہیں کوئی سایہ بھی مجھ سے الجھتا نہیں

چاند بھی اب نکلتا نہیں ہے یہاں سونا سونا ہے دل کا نگر کیا کروں

میں ترا دکھ بنوں میں ترا غم بنوں راس آ جائے تجھ کو وہ موسم بنوں

کوئی تدبیر اب کام آتی نہیں اور دل پر ترے میں اثر کیا کروں

ہے چکا چوند شہرت کی یہ روشنی تو نہیں ہے تو کچھ بھی نہیں زندگی

راستے میرے پیروں میں سونے کے ہیں اور چاندی کی ہے رہ گزر کیا کروں

درد دل میں رکھوں بھی تو کب تک نہاں دکھ میں اپنا کروں بھی تو کس پر عیاں

زخم دیتی ہیں مجھ کو یہ تنہائیاں مجھ کو تکتے ہیں دیوار و در کیا کروں

سامنے ہے نظر کے کھلا آسماں میں قفس سے نکل کر بھی جاؤں کہاں

آ بھی جاؤں میں اڑ کر ترے پاس بھی پر مرے کٹ گئے ہیں مگر کیا کروں

میں سرورؔ اس کی خاطر کروں بھی تو کیا مجھ سے روٹھا ہوا ہے مسیحا مرا

ہر شفا ہر دوا میری بے فیض ہے ہر دعا ہو گئی بے اثر کیا کروں

قمر سرور

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHwahishen Hain Bahut Aarzuen Bahut Sochti Hun Ki Tum Bin Ye Ghar Kya Karun

Qamar Suroor

KHwahishen hain bahut aarzuen bahut sochti hun ki tum bin ye ghar kya karun
rah chalte hue thak gae hain qadam KHatm hota nahin ye safar kya karun

koi suraj mere sath chalta nahin koi saya bhi mujh se ulajhta nahin
chand bhi ab nikalta nahin hai yahan suna suna hai dil ka nagar kya karun

main tera dukh banun main tera gham banun ras aa jae tujh ko wo mausam banun
koi tadbir ab kaam aati nahin aur dil par tere main asar kya karun

hai chaka-chaund shohrat ki ye raushni tu nahin hai to kuchh bhi nahin zindagi
raste mere pairon mein sone ke hain aur chandi ki hai rahguzar kya karun

dard dil mein rakhun bhi to kab tak nihan dukh main apna karun bhi to kis par ayan
zaKHm deti hain mujh ko ye tanhaiyan mujh ko takte hain diwar-o-dar kya karun

samne hai nazar ke khula aasman main qafas se nikal kar bhi jaun kahan
aa bhi jaun main uD kar tere pas bhi par mere kaT gae hain magar kya karun

main 'surur' us ki KHatir karun bhi to kya mujh se ruTha hua hai masiha mera
har shifa har dawa meri be-faiz hai har dua ho gai be-asar kya karun

(616) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHwahishen Hain Bahut Aarzuen Bahut Sochti Hun Ki Tum Bin Ye Ghar Kya Karun written by Qamar Suroor at UrduPoint. KHwahishen Hain Bahut Aarzuen Bahut Sochti Hun Ki Tum Bin Ye Ghar Kya Karun is one of the masterpieces written by Qamar Suroor. You can also find the complete poetry collection of Qamar Suroor by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qamar Suroor' above.

KHwahishen Hain Bahut Aarzuen Bahut Sochti Hun Ki Tum Bin Ye Ghar Kya Karun is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHwahishen Hain Bahut Aarzuen Bahut Sochti Hun Ki Tum Bin Ye Ghar Kya Karun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.