Sochiye Humse Taghaful Bhi Baja Hai Ki Nahin, Urdu Ghazal By Raaz Yazdani

Sochiye Humse Taghaful Bhi Baja Hai Ki Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Raaz Yazdani. Sochiye Humse Taghaful Bhi Baja Hai Ki Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sochiye Humse Taghaful Bhi Baja Hai Ki Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سوچئے ہم سے تغافل بھی بجا ہے کہ نہیں

راز یزدانی

سوچئے ہم سے تغافل بھی بجا ہے کہ نہیں

کہ یہی مقصد ارباب فنا ہے کہ نہیں

زیست میں لمحۂ اندوہ جفا ہے کہ نہیں

اے محبت کوئی تیری بھی خطا ہے کہ نہیں

پست کر دیتے ہیں موجوں کو ابھرنے والے

ڈوبنا خود نہ ابھرنے کی سزا ہے کہ نہیں

چھاؤں میں پھولوں کی آنکھیں تو مچی جاتی ہیں

کون دیکھے یہ چمن جاگ چکا ہے کہ نہیں

ہاں مرے عشق نے سوچے تھے بڑے ہنگامے

تو نے چھپ چھپ کے سہارا بھی دیا ہے کہ نہیں

کیا غلط عشق کو ہے جرم وفا کا اقرار

حسن پر زحمت بیداد و جفا ہے کہ نہیں

تجھ کو بیدارئ گلشن کی قسم ہے کہ بہار

ذہن انساں بھی کہیں جاگ رہا ہے کہ نہیں

سب ہیں شاہد کے بھلانے کا بہانہ کر کے

میں نے ہر وقت ترا نام لیا ہے کہ نہیں

کس کو جینے سے ہے فرصت جو یہ سوچے کہ مجھے

کوئی کام اور بھی جینے کے سوا ہے کہ نہیں

شکریہ آپ کے احساس جفا کا لیکن

یہ کرم فتنۂ آغاز جفا ہے کہ نہیں

ہے ابھی فیصلہ باقی کہ دلوں پر اب تک

آپ سے کوئی ستم ہو بھی سکا ہے کہ نہیں

راز پھولوں پہ بہاروں کا کرم ہے لیکن

یوں بھی کلیوں کا جگر چاک ہوا ہے کہ نہیں

راز یزدانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sochiye Humse Taghaful Bhi Baja Hai Ki Nahin

Raaz Yazdani

sochiye hum se taghaful bhi baja hai ki nahin
ki yahi maqsad-e-arbab-e-fana hai ki nahin

zist mein lamha-e-andoh-jafa hai ki nahin
ai mohabbat koi teri bhi KHata hai ki nahin

past kar dete hain maujon ko ubharne wale
Dubna KHud na ubharne ki saza hai ki nahin

chhanw mein phulon ki aankhen to michi jati hain
kaun dekhe ye chaman jag chuka hai ki nahin

han mere ishq ne soche the baDe hangame
tu ne chhup chhup ke sahaara bhi diya hai ki nahin

kya ghalat ishq ko hai jurm-e-wafa ka iqrar
husn par zahmat-e-bedad-o-jafa hai ki nahin

tujh ko bedari-e-gulshan ki qasam hai ki bahaar
zehn-e-insan bhi kahin jag raha hai ki nahin

sab hain shahid ke bhulane ka bahana kar ke
main ne har waqt tera nam liya hai ki nahin

kis ko jine se hai fursat jo ye soche ki mujhe
koi kaam aur bhi jine ke siwa hai ki nahin

shukriya aap ke ehsas-e-jafa ka lekin
ye karam fitna-e-aghaz-e-jafa hai ki nahin

hai abhi faisla baqi ki dilon par ab tak
aap se koi sitam ho bhi saka hai ki nahin

raaz phulon pe bahaaron ka karam hai lekin
yun bhi kaliyon ka jigar chaak hua hai ki nahin

(366) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sochiye Humse Taghaful Bhi Baja Hai Ki Nahin written by Raaz Yazdani at UrduPoint. Sochiye Humse Taghaful Bhi Baja Hai Ki Nahin is one of the masterpieces written by Raaz Yazdani. You can also find the complete poetry collection of Raaz Yazdani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Raaz Yazdani' above.

Sochiye Humse Taghaful Bhi Baja Hai Ki Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sochiye Humse Taghaful Bhi Baja Hai Ki Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.