Waqt Ki Raftar Ko Parkha Karo, Urdu Ghazal By Rafeeq Anjum

Waqt Ki Raftar Ko Parkha Karo is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rafeeq Anjum. Waqt Ki Raftar Ko Parkha Karo comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Waqt Ki Raftar Ko Parkha Karo on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وقت کی رفتار کو پرکھا کرو

رفیق انجم

وقت کی رفتار کو پرکھا کرو

بند ہر جھگڑے کا دروازہ کرو

منہ سے نکلی بات کی ہوگی پکڑ

آگے پیچھے سوچ کر بولا کرو

صرف غیروں کی زبانیں سیکھ کر

مشورہ ہے خود کو مت گونگا کرو

عہد پورا ہی نہیں کرنا ہے جب

زندگی بھر وعدۂ فردا کرو

تم اگر نازاں ہو اپنے آپ پر

وقت فرصت آئنہ دیکھا کرو

شہر کی آخر یہ حالت کب تلک

اہل دربھنگہ ذرا سوچا کرو

ہر طرف انجمؔ نئے مضمون کی

ڈھیر سی ہیں تتلیاں پکڑا کرو

رفیق انجم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Waqt Ki Raftar Ko Parkha Karo

Rafeeq Anjum

waqt ki raftar ko parkha karo
band har jhagDe ka darwaza karo

munh se nikli baat ki hogi pakaD
aage pichhe soch kar bola karo

sirf ghairon ki zabanen sikh kar
mashwara hai KHud ko mat gunga karo

ahd pura hi nahin karna hai jab
zindagi bhar wada-e-farda karo

tum agar nazan ho apne aap par
waqt-e-fursat aaina dekha karo

shahr ki aaKHir ye haalat kab talak
ahl-e-darbhanga zara socha karo

har taraf 'anjum' nae mazmun ki
Dher si hain titliyan pakDa karo

(348) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Waqt Ki Raftar Ko Parkha Karo written by Rafeeq Anjum at UrduPoint. Waqt Ki Raftar Ko Parkha Karo is one of the masterpieces written by Rafeeq Anjum. You can also find the complete poetry collection of Rafeeq Anjum by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rafeeq Anjum' above.

Waqt Ki Raftar Ko Parkha Karo is a widely read Urdu Ghazal. If you like Waqt Ki Raftar Ko Parkha Karo, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.