Raat Ke Sans Ki Mahkar Se Sarshaar Hawa, Urdu Ghazal By Rafiq Khawar Jaskani

Raat Ke Sans Ki Mahkar Se Sarshaar Hawa is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rafiq Khawar Jaskani. Raat Ke Sans Ki Mahkar Se Sarshaar Hawa comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Raat Ke Sans Ki Mahkar Se Sarshaar Hawa on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رات کے سانس کی مہکار سے سرشار ہوا

رفیق خاور جسکانی

رات کے سانس کی مہکار سے سرشار ہوا

جاگتے شہر سلا دیتی ہے بیدار ہوا

ہو کے سیراب خم شب سے سر دامن گل

صورت ابر برس جاتی ہے مے خوار ہوا

جانے کس طرح خلاؤں میں دھنک بنتی ہے

چاند کی رنگ بھری جھیل کے اس پار ہوا

طالب موج سحر جاتی ہے لہروں پہ سوار

ساحل شب سے اٹھاتی ہے جو پتوار ہوا

کتنی یادیں ہیں کہ جھونکوں کی طرح تیرتی ہیں

چھوڑ آتی ہے سفر میں جنہیں منجدھار ہوا

سر کھلے خاک اڑاتی ہوئی آنگن آنگن

رات کے درد کا کر جاتی ہے اظہار ہوا

چاند کے رس میں بجھے لمحوں کی تنہائی میں

زہر ہجراں میں ہے ڈوبی ہوئی تلوار ہوا

کتنے لمحے تھے کہ اشکوں کی طرح برسے تھے

رات گزری تھی جو گاتی ہوئی ملہار ہوا

زرد شاخوں کی پتاور میں اٹھاتی ہوئی حشر

کیٹسؔ کی نظم کا جیسے کوئی کردار ہوا

وہ تری جھومتی زلفوں کا گھنا جنگل ہے

بھول جاتی ہے جہاں شوخئ رفتار ہوا

آسماں پر سفر موج سحر سے پہلے

روز اٹھا دیتی ہے اک رنگ کی دیوار ہوا

رفیق خاور جسکانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Raat Ke Sans Ki Mahkar Se Sarshaar Hawa

Rafiq Khawar Jaskani

raat ke sans ki mahkar se sarshaar hawa
jagte shahr sula deti hai bedar hawa

ho ke sairab KHam-e-shab se sar-e-daman-e-gul
surat-e-abr baras jati hai mai-KHwar hawa

jaane kis tarah KHalaon mein dhanak banti hai
chand ki rang bhari jhil ke us par hawa

talib-e-mauj-e-sahar jati hai lahron pe sawar
sahil-e-shab se uThati hai jo patwar hawa

kitni yaaden hain ki jhonkon ki tarah tairti hain
chhoD aati hai safar mein jinhen manjdhaar hawa

sar khule KHak uDati hui aangan aangan
raat ke dard ka kar jati hai izhaar hawa

chand ke ras mein bujhe lamhon ki tanhai mein
zahr-e-hijran mein hai Dubi hui talwar hawa

kitne lamhe the ki ashkon ki tarah barse the
raat guzri thi jo gati hui malhaar hawa

zard shaKHon ki patawar mein uThati hui hashr
'keats' ki nazm ka jaise koi kirdar hawa

wo teri jhumti zulfon ka ghana jangal hai
bhul jati hai jahan shoKHi-e-raftar hawa

aasman par safar-e-mauj-e-sahar se pahle
roz uTha deti hai ek rang ki diwar hawa

(410) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Raat Ke Sans Ki Mahkar Se Sarshaar Hawa written by Rafiq Khawar Jaskani at UrduPoint. Raat Ke Sans Ki Mahkar Se Sarshaar Hawa is one of the masterpieces written by Rafiq Khawar Jaskani. You can also find the complete poetry collection of Rafiq Khawar Jaskani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rafiq Khawar Jaskani' above.

Raat Ke Sans Ki Mahkar Se Sarshaar Hawa is a widely read Urdu Ghazal. If you like Raat Ke Sans Ki Mahkar Se Sarshaar Hawa, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.