Be-zaban Urdu, Urdu Nazam By Rahbar Jaunpuri

Be-zaban Urdu is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Rahbar Jaunpuri. Be-zaban Urdu comes under the Social category of Urdu Nazam. You can read Be-zaban Urdu on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بے زباں اردو

رہبر جونپوری

ہوئی جاتی ہے نذر شورش آہ و فغاں اردو

کہے کس سے یہاں اپنے غموں کی داستاں اردو

معاذ اللہ ہے دام ہوس میں قید برسوں سے

کہاں سے ڈھونڈ کے لائے اب اپنا مہرباں اردو

اجازت لب کشائی کی نہ حق فریاد کرنے کا

خود اپنے ہی وطن میں ہو گئی ہے بے زباں اردو

وہی کرتے ہیں کوشش آج اردو کو مٹانے کی

سکھاتی ہے جنہیں محفل میں انداز بیاں اردو

زمیں اب تنگ ہوتی جا رہی ہے اس کی اردو پر

کبھی خود آپ اپنے میں تھا یہ ہندوستاں اردو

بتائیں کیا کہ ہر مقبولیت کے بعد کیوں آخر

ہوئی ہے شر پسندوں کے لئے بار گراں اردو

علامت جنگ آزادی میں تھی یہ سرفروشی کی

کبھی تھی انقلاب وقت کا نعرہ یہاں اردو

بکھیرے اس نے تارے ہر طرف مہر و محبت کے

رہی ہر دور میں امن و اماں کی کہکشاں اردو

دیا پیغام اس نے ایکتا کا بھائی چارے کا

رہی دیوار بن کر نفرتوں کے درمیاں اردو

غزل کے روپ میں اب بھی یہ دنیا کو لبھاتی ہے

پہنچتی ہے جہاں پر باندھ دیتی ہے سماں اردو

ہزاروں لوگ رہبر روٹیاں اردو کی کھاتے ہیں

مگر ہے کون جو دیکھے کہ کیوں ہے نیم جاں اردو

رہبر جونپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Be-zaban Urdu

Rahbar Jaunpuri

hui jati hai nazr-e-shorish-e-ah-o-fughan urdu
kahe kis se yahan apne ghamon ki dastan urdu
maaz-allah hai dam-e-hawas mein qaid barson se
kahan se DhunD ke lae ab apna mehrban urdu
ijazat lab-kushai ki na haq fariyaad karne ka
KHud apne hi watan mein ho gai hai be-zaban urdu
wahi karte hain koshish aaj urdu ko miTane ki
sikhati hai jinhen mahfil mein andaz-e-bayan urdu
zamin ab tang hoti ja rahi hai is ki urdu par
kabhi KHud aap apne mein tha ye hindostan urdu
bataen kya ki har maqbuliyat ke baad kyun aaKHir
hui hai shar-pasandon ke liye bar-e-garan urdu
alamat jang-e-azadi mein thi ye sarfaroshi ki
kabhi thi inqilab-e-waqt ka nara yahan urdu
bikhere us ne tare har taraf mehr-o-mohabbat ke
rahi har daur mein amn-o-aman ki kahkashan urdu
diya paigham us ne ekta ka bhai-chaare ka
rahi diwar ban kar nafraton ke darmiyan urdu
ghazal ke rup mein ab bhi ye duniya ko lubhati hai
pahunchti hai jahan par bandh deti hai saman urdu
hazaron log rahbar roTiyan urdu ki khate hain
magar hai kaun jo dekhe ki kyun hai nim-jaan urdu

(598) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Be-zaban Urdu written by Rahbar Jaunpuri at UrduPoint. Be-zaban Urdu is one of the masterpieces written by Rahbar Jaunpuri. You can also find the complete poetry collection of Rahbar Jaunpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rahbar Jaunpuri' above.

Be-zaban Urdu is a widely read Urdu Nazam. If you like Be-zaban Urdu, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.